Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aug 2018
Na amiro ki basti mein rhta hu
Na hi gareebo ke aashiyane mein
Middle class ka hua
Middle mein rhta hu

Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu
Na hi aakhar mein khada rhta hu
Middle class ka hu
Middle mein rhta hu

Na croro ka kabaarΒ Β hai
Na hi gulabi note hazar hai
Middle class ka hu
Meri jarurate saman hai

Na luxury car hai
Na nhi cycle apni bekar hai
Middle class ka hu
Auto,riksha, paddle chalna
Apne liye aam hai

Na meri girlfriends char hai
Na hi single rhna izzat ka swaal hai
Middle class ka hu
Apne yaar,dost shandaar hai

Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai
Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai
Middle class ka hu
In dono ke beech
Kaat leta apni raat hu

Na videsh ghoomnta hu
Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu
Middle class ka hu
Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu

Na sir jhukane wale log hai
Na hi sir jhukane wale hum hai
Middle class ka hu
Sabko gale lagana hi
Apna dharam hai

Na hi ac mein kaam karta hu
Na hi dhoop mein pasina sukhata hu
Middle class ka hu
Pankhe ke niche apna kaam karta hu

Na suraksha karmi apne pass hai
Na hi sarir apna lachar hai
Middle class ka hu
Apni jaan ki raksha apne hath hai

Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai
Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai
Middle class ka hu
Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
Abhishek kumar
Written by
Abhishek kumar  19/M/India
(19/M/India)   
4.3k
 
Please log in to view and add comments on poems