Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK May 2015
Tere pyar ne mujhe pagal bna diya ,
Tujhme khoye hain hum es kadar ki,
apna nam pata bhi bhula diya,
Jawane Se chhupa ke ki tujhse mohabbat ,
Par tune mujhe jawane se hi begana bna diya,
Tere pyar ne mujhe pagal bna diya....


Tere intezar me har pal ji raha hu ghut ghut
ke,
kaha chali gayi ** sanam tum mujhse ruth ke,
ab to jine ka sahara hain bus teri ye yadein,
Soch kar biti baton ko nam ** jati hai meri ye
aankhen,
Teri wafawon ne mera sab kuchh jala diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya. ..


chalti raho me tujhe dhundh raha hoon,
chand taro se tera pta puchh raha hoon,
tune mere dil me ek jagah bna liya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya....


mat dena dhokha tum mujhe pyar me
ai sanam nahi to tut jaunga,
chhod tumhe mai es duniya se chala jaunga,
laut ke phir mai kabhi na aaunga,
tere esk me maine teri har kamiyo ko bhula
diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya. ..


yaadon ko teri  Manish  likh raha apni kalam se
es tarah ki,
teri nafrat ko bhi usne amrit bna diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya....
Vineeta rai Nov 2018
Humsafar wo hai jo dukh sukh me sath de....
Humsafar wo hai jo har safar me apke sath **...
Humsafar wo hai jo apke sath kadam se kadam mila ke chale...
Humsafar wo hai jo apki khusiyo ko apke takleef ko apna samjhe....
Humsafar wo hai jo apki kamiyo k sath apko accept kre...
Humsafar wo hai jo apse pyar kre..
Humsafar to hum safar hai...thats mean
Hum- mai+tum
Safar-rasta
To duniya k har raste pr hr situation me sath chalne wala humsafar hai...
My own definition of life partner...
Shivam Porwal Dec 2017
Me bhi tumhari tarah 1 aam insaan hu
Pareshaniya mene bhi dekhi hai, takleefe mene bhi sahi h
Kuch waqt k liye khud Ko kamzor bhi paya hai
Mera bhi man mushkilo ko dekhkar ghbraya hai,

Par inhi sab chizo se 1 tajurba paaya hai
Jisne Zindagi ko jeena ka 1 naya rang sikhaya hai

Sangharsh aur musibatein to jivan ka ek hissa hai
Aage bhi badna hai sangharsh bhi nahi krna hai ye to galat kissa hai

Sangharsh ke bina tajurba kaha se laoge
Aur tajurbe ke bina kya sikhoge aur sikhaoge

Ab waqt aa gaya hai tumhe himmat dikhani hogi,
Apni kathinaiyo par apni asfaltao par tumko Vijay Pani hogi
Apne irado ko or majbut banana hoga
Kuch karna hai kuch karna hai in jazbato ko dil me utarna hoga

Ye zindagi ki ladai hai tumhe khud hi ladni hogi
Apni kamiyo ko taqat banane ki kala tumhe sikhni hogi
Tum chaho to duniya jeet skte **
Apne har sapne ko haqueeqat me badal skte ** !!! :)
An inspiration poem which inspires to fight with the conflicts

— The End —