Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
VENUS62 Jan 2015
Ambar ki aftaabi mein muskurata hai tu
Samundar ki gehrayeon se gunjtah hai tu
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Darkht ke  har patton mein lehrata hai tu
Baarish ki har boond se barasta hai tu
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Har takhayyul mein nazar aaye tera hi kalam
Innayat rahe hum pe sada tera bas karam
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Har tassavur mein hai  teri hi tasveer
Muqqamal karde ab meri bhi taqdeer
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Har nabz ke tarranum mein gun gunata hai tu
Har labz ko mere haathon se likhata hai tu
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Kabool kare meri ibadat mera ye junoon
samet le kadmo mein, mil jaye sukoon
al-Ala As-Salām, al-ʻAziz As-Salām

Translation
Your smile is in the radiance of the skies
Your sounds echo  from the depths of the ocean
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace

You sway in every leaf of a tree
you are in every drop of the rains
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace

behind every thought is your pen
continue to grace us always with kindness
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace

In every portrait, I see your image
help me complete my destiny
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace

you are the hum in the melody of every pulse
My hands are mere instruments of your every word
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace

Accept my worship, and my fervour
absorb me into your feet, and grant me peace
the most High, source of peace, the most glorious , source of peace
Na dhan k e daas hote hai ,naa mann ke daas hote hai
Nirasha me v aasha ka, saghan vishwas hote hai
Nazar se dur hokar v, jigar ke paas hote hai
Mohabbat karne wale dil, bahot hi khas hote hai

Ibbadat kaun karta hai,Innayat kaun karta hai
Sabhi hai lootne wale, mohabbat kaun karta hai
Bharamar ki gungunahat se hi, ab har phool darta hai
Sabhi khilwadd karte hai, mohabbat kaun karta hai

Mohabbat apni har aashiq, pe jaya hum nahi karte
Ki aise har kisi pe dil,  lutaya hum nahi karte
Mai kahti raat rani se, meri awaj ko sunkar
Chale aate hai khud bhawre, bulaya hum nahi karte

Hume apni mohabbat tum, gawara mat samajh lena
Aji ye dil humara hai, tumhara mat samajh lena
Kayamat ki nazar hai, humnazara mat samajh lena
Kinara kar rahe hai hum, Isahara mat samajh lena
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- www.researchbits.com,skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
VENUS62 Jun 2014
Shiddat se jise manga hai
Kya tum wohi **?


Jiski Shayaari mein **
ek meetha sa junoon
Kya tum wohi **?

Fitrat jiski ** Farishton si
Kya tum wohi **?

Innayat ** jisme ittar sa
Kya tum wohi **?


Nazron mein jiske **
sab bande  khuda ke
Kya tum wohi **?

Tarranum mein
talaasha jise
Kya tum wohi **?

Rooh mein bas jaaye jo
Kya tum wohi **?

Shiddat se jise manga hai
Kya tum wohi **?
, translated to English as In Search.

— The End —