Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Akela ** gya hoon tere bin jab se tune mujhe chhod diya,
Tor ke mera DIL mere pyar se jo yu mu'h mor liya,
Jab jab dekhi tujhe ye meri udas aankhen,
Chalak gye aansoo Jab yaad aai wo purani batein,
Kaise mitaoo sanam tera ye bharam,
Tujhe chahenge hum har janam,

Teri khusi me maine apni khusi ko dhundh liya,
Tu khush rahe sad'a eske liye maine rab se dua kiya,
Ab saare dard -e- gum bhula diye hum,
Tujhe chahenge hum janam -janam,

Ab har o pal tere bin main dard bhari yaado ke saath ji'h raha hoon,
Ekbar dekh lo mujhe ai jalim,
Tu kisi ke saath muskura rahi aur main akela ro'h raha hoon,
Puchh rahi ye duniya sari bewafa tum ya bewafa ** gye hum,
Tujhe chahenge hum janam janam,

Na mili mujhe tere sath jine ki khushi es janam to kya hua,
Tut gye hain hum, dil ko mere bahut dard hua ,
Khush ** jayengi zindagi meri jab es duniya ko chhod chale jayenge hum o bewafa sanam,
Tujhe chahenge hum har janam....
This poem is especially for those who have loved someone.

— The End —