Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka...
Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha...

Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta...
Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha...

Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha...
Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta...

Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha...
Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota...

Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta...
Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata...

Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana...
Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha...

Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha
Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara.....

Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha...
Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya...

Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya...
Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya...

Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana...
Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha...

Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha..
Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
Harshit Nangia May 2020
Aaj koi Anjaana jankaar ** gaya
Koi paraya apna ** gaya .

Bade dino baad aaj apne pan ka ehsaas hua hai
Shayad uske liye nahi, par mere liye kuchh khaas hua hai.

Iss zamaane se ladte ladte main logon par se bharosa kho chuka hoon,
Par na jaane kyun, tujh par aitbaar karne laga hoon.

Yeh sahi hai ya galat yeh main nahi jaanta
Main bass itna jaanta hoon ki khud ko tere hawale kar chuka hoon.
Written a long time ago when a stranger came into my life and lit it up.
Akta Agarwal Jun 2021
Sabke zindagi ki kuch aesi kahaniyaan hoti h jo logo s chupi hoti h
Jo bsh kuch anjaana sa hota h
Tik wese hi yh kahani h
Isha ki

Logo ka manna tha wo kathor dil wali amir ghamandi ladki h
Pr log kya jaane wo amir ** k v akeli h
Logo ko kya pta ki wo v bsh kuch waqt pehle khudh s mili h
Mohobbat tutne s jada dard apno k ruthne ya bharosha tutne pr hota h
Wo to ek maasum si thi
Ushe to pta hi nhi tha ki wo kabhi esh Isha s milegi jo ki kathor patthar ki trh sakt h
Pr jis waqt ushe fareb, dokha or bewafaae k dard ka ehesash hua
Uski sachchae s jo wo wakif hue to usne apni masumiyat ko khudh k saamne mrta paya
Usne uske dil ko gilli mitti s kathor patthar bnta paya
Usne apne bharoshe pe bharosha kr sb kuch tutta - bikhrta paya
Ush din apne ko hi nhi apno ko v khudh s dur jata paya
Or ush waqt khudh k maut pr khudh ko rota paya
Or fir bn k tayyar hue kathor patthar
Jisko puri trh smjhna aaj v aashan ** na paya
Vineeta rai Nov 2018
Pyar diwana hota hai....
Mastana hota hai....
Sbke jindagi me anjaana hota hai...
Jb socho ki jaan liya hai pyar Ko...
Usi pal ek naya fhasana hota hai...
Aur last me fhir yhi hota hai ki...
Pyar afsana hota hai  
My thinking towards love

— The End —