Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aap
Ek naadan parinde ka haath aapne thaama,
Apne dil mein diya sabse khubsurat thikana.

Phool ki mehak ko jaata nahi churaya.
Suraj ki kirne ko jaata nahi chupaya.

Khuda ne itna sikhaya hai mujhe,
Aapke liye dua karu khud se pehle.

Mere dil ka dard kisne hai dekha,
Ye dost muskaan ke peeche ki kahani padh leta.

Vaada karte hain ye rishta dil se nibhayenge,
Aapki shiddat mein hadd se guzar jayenge.

Dil se maangi thi dua rabb se,
Qubool hui ibadat mulakaat hui jab aapse.

Duniya ki daulat hey ishwar nahi chahiye mujhe,
Sabse anmol tohfa mila jo jud gaye sanjog unse.

Dadhkano ki dadhakti har awaaz hai sirf unki,
Pyaar mein tabdil ** gayi hamari dosti.

Chand sa hai mukhda,
Mere jigar ka tukda.

Bin tere jiyenge ab hum na ek pal,
Tujhse juda hai aane wala har kal.

Bhut sataya humne aapko aapka jawab dene mein,
Hanji hum bhi chahte hain aapko aapki shiddat se.

Jud gye dil se dil tak,
Mujh par sirf hai aapka hakk.

Rooh se rooh ka rishta hai hamara,
Tujh bin ek pal nahi humein gavara.

Chadha diya hum par rang apna,
Poora hua ek pyaara sa sapna.

Aasman mein jab tak sitaro ka hai basera,
Ek dusre ka hain hum sahara.

Meri zindagi ke saaton janam hai aapke naam,
Aapke hi rahenge hum bheja khuda ko paigaam.

Pyaar mera rago mein lahu ban daude,
Apna sab kuch tum par qurbaan kar de.

Tum saath ** tou zindagi mein hai bahaar,
Tere bina zindagi bhi hai meri bekaar.

Khuda kasam har saans sirf tumhari,
Tumse hi judi hai zindagi hamari.

Rabb jaane kya lekh likhe unhone,
Milaya hai jab aage bhi whi sambhale.

Mai teri ** gayi haa mahiya,
Har kadam saath hain hum saathiya.

Rabb se pehle tumko yaad kiya,
Apna dil tumhe de diya .

Sacchi mohabbat tumse kar baithe,
Pta nahi chala kab hum aapke ** gye.

Zindagi se judi hai hayat aapki,
Aapka pyaar jaise maa ki thapki.

Har mod par saath hai aapke,
Chahe waqt kitni karwat badal le.

Aapki pagli sirf aapki hai yaara,
Tum bin kaun hai hamara.

Intezaar hai besabri se humein us din ka,
Jis din aapke naam se judega naam hamara.

Aapka har dukh hamara hai sajna,
Hamari har khushi par naam hai aapka.

Tumko bhi hai khabar,
Aye mere humsafar.

Maut ki gaud mein sone ke baad bhi,
Alwida nahi hai kehna humein kabhi.

Gujarish hai khuda se ,
Kabhi juda na karna unse.

Ek sang hi mitti ki chadar odh so jayenge,
Sacchi mohabbat dil se nibhayenge.

Mohabbat se kai upar hai mohaabat aapse,
Aisa koi shabd nahi jo ise piro ske.

Chaha tha humesha se humsafar mahadev jaisa,
Qubool hui dua hamari jo mila mahiya aisa.

Dilon ki awaaz mein hai itna asar,
Yaad kare joo ** jaati hai khabar.

Ibadat karne ka wo khubsurat lamha mile,
Tou hum apne humsafar  ke saamne sajda kar le.
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Apr 2018
Rishtey wo nahi hote jo duniya ko dikhaye jaye,
Rishtey wo hote hai jo dil se Nibhaye jaye.
Rishtey nibhana har kisi ke bas me nahi,
Ab to bs rah gyi hai yadon ki haseen gali,

Rishtey wo nahi jo sirf sukh me kaam aate hai,
Rishtey tou wo hote hai jo dukh me sath nibhate hai,
Rishta agar es dil se hota hai,
Wo rista bda hi atut hota hai,

Rishta banao tou use dilon jaan se nibhana,
Kisi ki bhawnao ka mazak na udana,
Kisi ki zindagi bankar uski zindagi na chhen lena,
Aankhon mein aansuo ka tohfa na dena,

Rishtey me khatas nahi mithas hona chahiye,
Rishtey me bahas nahi vishwas hona chahiye,
Wo rista ek na ek din tut jata hai,
Jo rishta dil se nahi dimaag se nibhaya jata hai,

Saath chhodne wale tou bus majburiyon ka haath thaam lete hai,
Nibhane wale tou maut ka darwaza khatakne kya aakhiri saans tak hamare saath hote hain,
Rishtey tou milte hai mukaddar se,
Sanjo lo unhe dil mein,

Jis rishtey ko us khuda ne bnaye hai,
Ek na ek din use jaroor milaye hai,
Jab do dil ek ** jate hai,
Tab wo ek anmol rishtey kahlate hai....

Collaboration  by Shrivastva MK and Sonia*Paruthi
GHAR KI WO BAHADUR BETI

ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti.
darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti.

Ma ke anchal ko pakad ke chalti,
main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti,
khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti,
anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti.

Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani,
usko ek alag hi dunia hai banani.
sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti.
kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti.

Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi.
khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi.

Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me.
usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga.
age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya.

Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi.
arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti.

ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi,
diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi.
bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti
MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
Aapka saath humein har janam mein mile,
Dua hai hamari aapke jivan mein phul khile.

Sabse khushnaseeb hai hum mere humsafar,
Jo aapka saath hai hamare saath har dagar.

Meri rooh ka rishta hai gehra us rooh se,
Chehra basa hai sirf aapka dil ki tasveer mein.

Sagar ki gehrayi bhi kam hai is mohabbat ke saamne,
Beinteha mohabbat hai tumse kehti hai dadhkane.

Ruke na zindagi me hamare pyaar ki hawa,
Hum tumhare hain tum hamare oo humnawa.

Sukoon milta hai sun khud ka naam aapke saath,
Jaise koi subah judi ** shaam ke saath.

Meri haathon ki lakeere, mehandi sirf aap **,
Har pal aapka hi rehta hai khayal humko.

Qubool ** gayi har dua tumhari,
Jab se mili hain saanse hamari.

Dil ki gehrayi se chand ki roshni se,
Kehna chahte hain hum kuch aapse.

Phulo ke kagaz par likhte hain kuch labz,
Beinteha mohabbat hai har lamha har nabz.

Jaati nahi aankhon se surat aapki,
Aapki zindagi mein rang bharne ki kasam khayi.

Mil gaye humein hamare bholenaath,
Jab se mila is khaas dost ka saath .

Aapko dekhte hi ** jaata hai dil bekaraar,
Aapko mile khushiyan beshumaar.

Jab saath hai aapka dil mein dadhkan ki jagah,
Fir zindagi ko saanso ki jaroorat kahan.

Rabb se yhi ibadat mein karte hain fariyaad,
Ye jodi yu hi banaye rakhna kr tumhe yaad.

Kabhi ruth na jaana humse piya,
Saath rehne ka vaada hai kiya .

Jabse mehsoos kiya is dil ne aapko,
Milne gayi zameen par jannat humko.

Pyaar saccha ** tou waqt bhi Ruk hai jaata,
Is pavitra rishtey ke liye aasman bhi jukh jaata.

Aapse shuru hote hain hum aapke saath hi khatam,
Saath rahenge aapke har janam mere sanam.
Shrivastva MK Oct 2017
Aate hai farishtey bankar,
Rehte hai har waqt haath thamkar,
Milta Hai anmol dosti ka vardaan jise,
Phulo se sazakar rakhna use,

Aate hai anzaan bankar,
Rahte hai dilon jaan bankar,
Sari hasratey pure ** jate hain,
Jab wo pyare dost muskurate hain,

Gum ke sagar mein dubne na dete
Khushiyan ka paigaam hain bhejte
Zindagi jeene ka maksad btate
Pyaara sa sansaar hai chahte

har pal ko khushnuma banate,
Sahi galat ka ehsaas karate,
Jo gumo me bhi saath nibhate hai,
Wahi sacche dost kahlate hai,

Khuda kasam kya khubsurat rishta hai dosti
Phulo se mehakta bagicha hai dosti
Yaaron ke bina adhuri hai zindagi
Zindagi jeene ki wajah h dosti


Written By
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
U can also read this poem on allpoetry.
https://allpoetry.com/poem/13546476-Yaaron-ki-yaari--by-Sonia-Paruthi
Mai phul hu agar meri khushbu ** tum,
Tum bin adhure hain hum sanam.

Jaan hain hum tou rooh ** hamari tum,
Tumse judi hai zindagi saaton janam.

Is dil ki awaaz ** tum,
Sirf tumhare hain hum.

Tumse pyaar beinteha karte khuda kasam,
Rishta hai hamara janam janam.

Aapki hard rag see waakiff hain hum,
Hamare lahu ke har katre mein ** sirf tum.

Hamare naam ki pehchaan hai tumse,
Khushnaseeb hain hum jo khuda ne.

Milaya hai is jodi ko shiddat se,
Dil se dil tak bandhe hain ek duje se.

Hamare haathon ki lakeere hain ek si,
Bigaad nahi skti kuch meelon duriyan bhi.

Har imtehaan ek dusre ka haath thame,
Himmat atoot hai jab hain saath mein.

Mere haath mein jab hai tumhara haath,
Maut se bhi lad jaane ki taaqat hai saath.

Aankho mein khwaabo ka dariya tum **,
Saanso ka ye rishta pyaara hai mujhko.

Haathon ki chudiyan tumse hain khhanakti
Pairo ki payal tumse hain chhanakti.

Is maathe par sindoor hain sirf aapke naam ka,
Sagar ki gehrayi se gehra hai rishta hamara.
Aapke saath bitiya har pal hai khubsurat,
Aapka masoom sa chehra hai khuda ki murat.

Bahut yaad aa rhi hai aapki,
Talaash rahi aapko nazre meri.

Wo aapka muskurana jab kehte hum awaaz aa rahi,
Har lamha itna khubsurat hai in palkon mein yaadein sanjo rakhi.

Aapse shuru hota hai hamara har ek kadam,
Beintehaa mohaabat hai aapse saath rahenge har janam.

Bs ek dua hai us uparwale se,
Aap humesha salamat rahe.

Mohabbat hi nahi zindagi bhi ** meri,
Ye dadhakne aapko pukar rahi.

Khuda se maangi huyi ** mannat,
Aapke saath har pal hai jannat.

Meri duniya ** aap,
Har takleef lete ** bhaap.

Bin kahe sab samjh jaate,
In aankhon ko kaise padh lete?

Dil se jude jazbaat hain gehre,
Aapke aane se khil uthte chehre.

Meri taqdeer, meri jaan ** aap,
Ek geet ka khubsurat alaap.

Wohi pyar ka mandir ** aap, mera jaha,
Jise humne dil se humesha chaha.

Mahadev jaisa ** humsafar,
Chale jo saath har dagar.

Humesha se chaha tha humne,
Us talaash ko poora kar diya aapne.

Paavan pavitra rooh se jude hain is qadar hum,
Jaise saanso se dadhakta hai dil har dum.

Is dadhakte dil ki awaaz ** tum,
Aapse poore hote hain hum.

Pyaasi nigahon ka ** Qaraar,
Saji mehfilon ki bahaar.

Milne ki fariyaad mein dil ka intezaar,
Meri zindagi ka pehla aur aakhiri pyaar.

Shiddat se chahta hai ye dil aapko,
Saare jaha ki khushiyan aapke kadmo mein **.

Mehfooz rakhna mere humsafar ko mere khuda,
Is sacchi mohabbat ka karu sir jhuka kar mai har pal sajda.

Pavitra rishta hai hamara,
Is dil se juda hai dil tumhara.
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
Ain Sep 2020
Khoobsoorti sadaf ki be misaal hoti hai....
Raaz hai uska jo chipa us mein ek moti hai.....

Sadaf ke do pat gar misaal e miya biwi hain...
Unki shadi ka rishta hi woh chipa moti hai...

Naazuk magar bohot woh baareek taar hota hai. ....
Jo us moti ko bana ke haar apne mein pirota hai...

Lamhe se lamha judta hai to ek zindagi banti hai...
Aur do zindagiyan milti hai to  ek shadi ki ladi banti hai...

Qadam se qadam milane mein khud ki pehchaan bhi khoti hai...
Alag se rang mein rangi phir shaksiyat dono ki nikharti hai....

Azwaji zindagi ke kuch apne masale bhi hote hain...
Kaanton se bhari raahon mein paththar bhi biche hote hain....

Zakhm in rahon par chal kar zaroor hasil hote hain...
Tab woh dono hi to ek duje ka marham hote hain...

17 saalon mein maine to bas itna hi seekha hai....
Hai woh kaamyaab rishta mohabbat se jisko seecha hai...

Sona chandi jis tarah ek aurat ko sajata hai...
Pyar o ehteraam waise hi rishte ko banata hai...

Wafa ka bhi to ek bohot ehm muqaam hota hai...
Qaayam uske dam pe hi to aitmaad hota hai....

Kuch aise hi to daqeeq yeh uroosi rishte hote hain....
Beinteha mohabbat se jinhe in jodon ne seechein hain...

25 o 50 salon ka yeh safar e taweel mubarak **. ..
Aapko yeh khoobsurat qaid e hayaat mubarak **. ..

Dua karti hain "Ain" laa zawal mausam e ulfat **....
Masrur rahe hayaat, har lamha pur rifaqat **...
Juwayriya  Sep 2021
Dard
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.

— The End —