Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dharmendra Kumar Jul 2020
Aankhe bhi nam
Man bhi udaas
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Kuch apne me hi uljha raha
Dekhta raha neela Aasmaan
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Vakt thoda kathin hai
Manjil bhi dur hai
Uljha hu apne hi sabdo se
Bas yahi nahi pata kya chahta hai dil

Harna hai nahi
Jeet bhi muskil hai
Bas is sawalo ke jabaab me laga hai dil

Aasha hai fir uth jaoonga
Fir naya ban jaoonga
Thoda baki hai
Bas hai nazdeek manjil ke mera dil
I am motivated
Tumhe dekh raha hu
Nazar se nazar ek tarfa
Shayad yehii waqt hai pyaar ka
Khozta hu ek raasta
Par do kahaniyon me uljha
Takdir e kashish
Boond e ishq
Pyaari si muskurahat
Dil kurban...
Hira malik Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!

— The End —