Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Naye Dashak ki shuruat thi
Ek hichak mere sath thi
Kuch acha hone wala hai
Ek sapna sach krwana hai
Nayi ye shuruat hai
Thame sab mera hath hai..


Par kuch or hi ghatne wala hai
Saya ek kala ana hai
Na khabar mujhe na duniya ko
Ab sb kuch thamne wala hai...


Tum rok lo Isko hone se
Tum rok lo khud ko khone se..


Parlay ka alam ban gya re
Tufan ghanna ye chaaya re...


Insaan kaide mein band hoga
Panchi khuli hawao mein
Anjana sa dar hoga
Bekhauf khuli in raahon mein...


Prakriti fir naya rang legi
Dukh apne sab har legi
Jo jakham die insano ne
Ab kalam nahi un hatho mein
Prakriti ka lekh nirala hai
Naya khel wo rachne wala hai..!!
Siddharth Ray Jun 2019
Humse manga hota,
Itihas main kya rakha hay,
Shuruat kahaniyoon ki,
Hum se hi hui thi.

Kuch kahaniyaan shabdoon main kaid hui,
Aur kuch *** leheron main phass
Jab sagar bhi hum, kinara bhi hum
Unki mulkaat, hum se hi hui thi.

Humse na mile toh kya dekha,
Tum raahi **, hai raasta lamba,
Inn raston ki hadd ka andaza
Hum se shuru aur khattam bhi hum pe hui thi.

— The End —