Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar  maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai

Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai

Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai

Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai

Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai

Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai

Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai

Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu

Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Payal ki chaan-chaan se chaanke
khanke ban kangan
oos ki bunde hai hum ladki
man hai ek darpan,

Humse hai ghar baar tumhara
humse hai aangan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan,

Ladke hai wo prem ki jisme
hum tasweer sajaate
Haatho ki khalirekhao par
hum kishmat ban jaate
Humshe mahkata hai bachpan
aur sajta hai yowwan
oos ki bunde hai hum................
.........................................darp­an

Kabhi geet hai  kabhi gajal hai
aur kabhi angaar
Hum khubi se nibha rahe hai
apne sab kirdaar,
Chand sitare choo aaye hum
tood ke har bandhan
oos ki bunde..........
....................dhadkan

Hum hi wo maa hai jisne
iss dunia ko hai banaya
Patni Bhabhi Bahna Beti
ke rishto se hai sajaaya

Mat raundoo hum kalio ko
Mit jaayega Uppwan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan....

(DEDICATED  TO EVERY GIRL)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Sahil Sharma Aug 2018
Aaj achanak hi kyu azadi k din hume apne mulk ki itni yaad aayi
Jb kurbaan hue jawan sarhad pe,tb kyu nhi aankho me nami aayi

Zara dil se b izzat kr lo mere yaaro, kyuki ye zameen h hum sabki
Kuch nahi le jao ge sath apne, milni h ess me hi raakh hum sabki

Koi loot raha h gareeb ki jaeb, koi kr raha h bezuba awaam se faraeb
Umeed h kashmir me aman hoga,toh aur b meethe hoge waha k saeb

Jo saha h dard in kisaano ne, umeed h unka ye dard tumhe b mehsoos **
Daer raat in anderi galliyo se guzrti har beti har maa ki raah mehfooz **

Mazboot kr lo apne rishto ko,inpe h nigah kbhi mazhab ki kbhi siyasat ki
Na rang se pehchan ** na hi adoore ang se,ek si taraki ** har ek riyasat ki

Rishwat gareebi khudgarzi aur na jaane kitne h es mulk ko lge marz
Kbhi fursat hui toh janne ki koshish krna kitne h es maa k tumpe karz

Har bache ko ilm ** es janoon ka,taki ye kamyaabi k kadam ruk na paye
Bss ik ehsaan krna khud pe,ki teri kisi harqat se kehi iska ser juk na jaye

Dhua bss yehi h ki aane wali koi b nasal kabhi na ruksat ** es fitoor se
Chand taaro pe chle b gye agr phir b krte rehna sada salam waha door se
Recently I thought of writing about the topic because whenever I used to achieve something.. it keeps me grounded thinking that I m here just to play a specific role sent by that almighty n should do it quitely.
I always used to think.. n do so.. ma doings in this world r so pitty in front of the magnitude of this Bramhaand
Mujhe lagta hai k main is Nirakar Qaynat k beech me kahi lakta hua hoon.. Means to say dat me being on this planet is lyk hanging smwhr in the middle with no strings attached..Ma planet being part of a galaxy constituting of millions n millions of planets n stars like mine n dat galaxy is a part of a universe dat consists of millions of galaxies like our own..Milky Way
I think the above description cn help..keep us ol grounded n realise k ek zarra bhi nahi hai hum is adbhut aur vishalkaye system me

Thinking of the universe.. it comes to me like this.. inspite of ol the definitions available..

SHIVA..THE NIRAKAR AS WE DEFINE GOD..THE MOST ANCIENT & THE MOST POWERFUL FORCE OF THE UNIVERSE SITTING IN DHYAAN POSTURE N OL DESE PLANETS..STARS..GALAXIES BEING PART OF HIM
JUST IMAGINE..TRUST ME U WILL GET D PICTURE INSTANTLY

INSPITE OF THE FACT TO WHICH RELIGION I BELONG..M BEING HONEST HERE.. ACCORDING TO MA KNOWLEDGE.."GOD VISHNU".."GOD SHIVA" & THE SOUND "OM" R THE MOST ANCIENT & POWERFUL FORCES PRESENT IN THIS UNIVERSE

MERI YA MERE SHABDO KI ITNI AUKAT TOH NAHI.. K KHUDA KI QAYNAT PE KUCH LIKH SAKU
HAATH JUD RAHE HAI BAAR BAAR USKE SAJDE ME..
KOI ANJANE ME TERE MUREED SE GUNAH ** JAYE TOH BAKSH DIYO

LOG BHUL GAYE SAB KUCH ROZI ROTI KAMANE ME..
KOI BEMISAAL TAQAT LAGI HUI HAI TERE HAR KARAM KO TOLNE APNE PAIMANE PE
JIS DAULAT AUR JINKE LIYE TU AMBAAR LAGA RAHA HAI..
AAKHIR SAB MITTI K DHER HAI.. JIS SAB K LIYE TU APNA WAJOOD MITA RAHA HAI

KUDRAT KI TAQAT KA KOI TOD NAHI..
BRAMHAAND K BRAM KA BHI KOI JOD NAHI..
KYA KYA ISNE APNE BHITAR SAMAYA HAI..
KABHI KISSI NE ISKA ANTH BHI TO NAHI SUJHAYA HAI

PRITHVI PE HAR EK JEEV IS BRAMHAAND KA HI ANSH HAI..
KHASKAR INSANI DIMAAG USSI KA VANSH HAI..
JISSE KOI SAMAJH NA SAKA..750 GMS KI ITEM..QAYNAT KI SABSE WICHITRA CHEEZ HAI
MERA EXPERIENCE..YE JAB TAK CHALA..SABHI RISHTO KO TAAK PE RAKH KAR KOI KISSI KA ** NA SAKA..MERE DIL ME YEHI TEASE HAI😊

— The End —