Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Tum bin
Mein kohre ki Dhoop dhoondta
Ek shikhar aashiqui sapne liye
Mann hi Mann ghumta
Wajeeb noor e rooshwayi
Dhoobta mein jalta khud hi khud me
Ek bebasi
ek dariyaan
Ek muhabbat e muskurahat
Teri woh jhilmil si jheel si Nazar
Aur nazaro nazaro me dhoondta dil pyaar ke sukun ke woh Lamhe!!!
...
..
.
Shrivastva MK Jun 2017
Maine paise ke liye insaan ko badalte dekha hai,
Maine paise ke liye insaan ko tadapate dekha hai,
Ye bhagwan to nahi par,
Iske liye insaan ko marte dekha hai,

Maine Paise ke liye kisi ko kadi dhup me jalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko thand me tadapte dekha hai,
Ye grihdata to nahi par,
Iske liye kitno ke Ghar ujarte dekha hai,

Maine Paise ke liye riste badalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko naak ragarte dekha hai,
Ye koi aahar to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin bhojan ke sote dekha hai,

Maine Paise ke liye insaan ko nazaro se girte dekha hai,
Maine Paise ke liye insaan ko aag par chalte dekha hai,
Ye koi Ann to nahi par,
Iske bina insaan to bhukh se marte dekha hai,

Maine paiso ke liye aurat ke kapade utarte dekha hai,
Maine paiso ke liye Ghar me bahu ko jalte dekha hai,
Ye koi vastra to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin kapade yu tahalte dekha hai,

Maine paiso ke liye Bhai Bhai ko ladte dekha hai,
Maine paise ke liye ladki ko sadak par thirkate dekha hai,
Ye koi bhagya to nahi par,
Esse kaiyo ke bhaag badlate dekha hai,
Bhag badlate dekha hai.....
Its my personal opinion about money,if any word or sentence hurts u sorry for that,
We have really seen the real figure of money,and have seen children working in company for money..
Translation available
Bahot ghum liya
Dard e ishq me
Ab thoda aaraam hi sahi
Lamhe me lamha ...
Kitne kitne...ki waqt e raaz raat se subhah ** jaye bin batayega khud se...
Nazrein nazaro me
Ghumti ghumsum si bewajah bewafai...wajah e nadaan...
Dil e sukoon kanha ab? Par kab tak?
LLZ Oct 2020
Toh Kya hua ,
Pehenti hu Mei jeans top ya short skirt koi,
Par sabhayta dupatte Vali h ,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Mana ki pasand h mujhe,
Pizza aur burger khana ,
Par maa ke hath se bani chule ki roti bhi pyaar se khane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Ha hu Mei todi ghamandi aur batameez,
Lekin choto se pyaar ,
Bado ka samman karne Vali hu ,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu

Nahi sajana maang Mei laal rang koi,
Nahi bandhna Gale Mei kala sutra koi
Ab apne swabhimaan aur aajadi ki or kadam badane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Hath badane valo se,
Hath milane Vali hu,
Buri nazar se dekhne valo ko,
Unhi ke nazaro Mei girane Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu.

Batameezi Kar Jaye gar koi mujhse,
Toh madat ki guhar nahi ,
Muh tod javab Dene Vali hu,
Ha Mei ladki seher ki rehne Vali hu!
City girl😊

— The End —