Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Aaj pyari si ek pari
Mere ghar aayi ...?
Aaj nanni si ek kali
Mere ghar aayi...

Uski khushboo se mehka hai...
Yeh ghar humara?
Beshumaar khushiyan
Mere ghar aayi...

Uski ankhon se roshan
Hai har ek kona?
Lauhe mishkaat banke jo
Mere ghar aayi...

Humne jiske liye ki
Badi mannatein thi?
Woh ek dua e maghbool
Mere ghar aayi...

Uska chehra bhula de
Saare ghamon ko?
Yeh ek aisi basharat
Mere ghar aayi...

Uski pyari tabassum
Zakhmon ka malham

Ek nayi zindagi
Mere ghar aayi...

Usko dekhun to aankhon ko
Thandak aa jaye?
Hai jo Allah ki "Neama"…
Mere ghar aayi...

Jaise dasht o sehra mein
Rahat de waha?
Waisa taskeen e qalb woh
Mere ghar aayi....

Tere daaman mein aalam ki
Saari ** khushiyan?
Mere dil ki tammanna
Mere ghar aayi....?

** yeh tera muqaddar
Suraj sa roshan?
Banke chanda si murat tu
Mere ghar aayi...

Ae khuda tera sajda e
Shukr bajaon?
Teri rehmat se beti
Mere ghar aayi...

Jaise Allah ne jholi "Ain"
Teri hai bhar di?
Sab ko hasil ** daulat jo
Mere ghar aayi....
Written on 11 Aug 2012………my daughter’s first birthday. ..
Tu
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,  
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.

Har saans mein jo bas gaya hai khushbu banke,  
Us mehka hua jahan mein bas tu hi tu hai.

Mere labon pe tera zikr sada hai,  
Mere har qissa-e-gham mein bas tu hi tu hai.

Chaand ke saath jo guftagu karun raaton mein,  
Wahan bhi mere lafzon mein bas tu hi tu hai.

Jahan nazar uthaoon, tera chehra dikhta hai,  
Har manzar ke rangon mein bas tu hi tu hai.

Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,  
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.

— The End —