Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Aug 2017
Humne bhi bahut kuchh es dil me daba rakhe hain,
Apna pyar es duniya se chhupa rakhe hain,
Na ** kisi ko bhi ehsaas mere dard Ka isliye,
Apni Mayushi ko bhi muskan bana rakhe hain,
Muskan bana rakhe hain,

Unki khubsurat tasveer apni bhingi aankho me basa rakhe hain,
Unki harek Baat apni hothon pe saza rakhe hain,
Labon pe ** sirf unka naam isliye,
Apne man ko bhi unki yaadon Ki duniya me bitha rakhe hain,
Bitha rakhe hain,

Najane ye pyar kitno ko parwane bana rakhe hain,
Kisi ko amar to kisi ko bas khwabo me basa rakhe hain,
Pyar ko bhi kabhi pyar Ki kami mahsoos hue honge,
Tabhi to pyar ne bhi Pyaar me Zudai bana rakhe hain,
Zudai bana rakhe hain....
Ankit Dubey May 2019
Kyun sham thaharti nahi tab tak,
K tu aa na jaye kareeb jab tak,
Kyu raat dhalti nahi tab tak,
K tu meri ** na jaye jab tak,
Ab to bina wajah hi kai baar dil dhadakta hai,
Lekin kyun saanse meri rukti nahi tab tak,
K tujhe khud me mahsoos na kar loo jab tak.....
k banjar hua ja raha  hu mai bina tere,
ku akhiri ehsaas tootne se ruk jata nahi tab tak,
k akhiri armaan poora mera hi na jaye jab tak,
kyu jindagi me tofaan koi aata rahta hai,
kyu baki nahi rah jaati jan mujh me tab tak,
k tu har pal mujhme na simat jaye jab tak......
bojhil mera dil ku thak jata hai,
rota hai,
ghabrata hai,
aansoo bahata hai,
kyu jindagi thokar mujhe marti nahi tab tak,
k koi mera mujhko samet le aoni bahon me jab tak,
bekhabar bejubaan dil mera ku dard bayan karta nahi  tab tak,
k koi aayat khuda ki tujhse roobaru hoti nahi jab tak.......
kyu gair koi mujhe dard de jata hai,
kyun mere liye khuda sab bhool jata hai,
kyu har kisi k rooth jane par tu pyar mujhe karta nahi tab tak,
k aankhen band ** jaye meri par ehsaaas tera mujhme rah jaye jab tak,
k saanse agar na bhi chale,
par jikr tera chala rah jaye jab tak........
Ankit Dubey May 2019
dil mera chahta hai,
k ek baar bhar k tumko bahon me so jaun mai,
ek jindagi beet jaye meri ,
k fir se jab aankhen khule,
tu aak mere paas na fir se juda ** paye,
tujhe mahsoos karu har pal paas mere,
k jab jab meri saanse chale,
jinda rahu mai na rahu,
par mujhme tu hi tu baki rahe,
** jaye chahe jahan khafa,
par tu har pal mere sang sang chale,
ab aur kitne imtihann loge mere khuda mujhse,
k ab bhi meri pallavi mujhse door hai,
de do mujhe meri jindagi,
kuch to badlo takdeer meri,
k ab to ham ek ** jaye,
vo aa jaye ab paas mere,
aur milkar ham apne ghar chalen....
Gracy Patel Aug 16
Ek shanyashi, kailasash washi,
Sansar bulata tu bhole kalyankari,
Moh Maya se pare wo ganga dhari,
Netra bandh, shant suamya swaroop hari.

Ek Rajkumari pratibhashali,
Parvat raj ki putri thi wo Parvati,
Ati sundar wo kanya gunkari,
Maata pita ki raj dulari.

Purva janams wo anjan,
Bhul se bhatak *** ek van me ekaant,
Dekha shivling dhul me paryapt,
Chuke k mahsoos kiya koi purwa janam ka gyaan.

Anjani utejna ya hiriday me jaga prem,
Parvati bhuli sansar ka sneh,
Van me jake Kiya tapsya ka dheyey,
Chord ke Mahal dhundh ne chali man ka chen.
Par wo prem hi kya jisme na ** duvidha,
Shiv saa agori kaha samje, ye to he narayan ki leela,
Parvati bhi kaha thi piche hatne wali,
Sansar kehta wo agori or tu rajkumari,
Prem ki yahi to kahani,
Na me puri na wo Pura, phir bhi sansar ke sukhi Nar Naari.
Describe shiv parwati love journey through poem

— The End —