Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
Kyun sham thaharti nahi tab tak,
K tu aa na jaye kareeb jab tak,
Kyu raat dhalti nahi tab tak,
K tu meri ** na jaye jab tak,
Ab to bina wajah hi kai baar dil dhadakta hai,
Lekin kyun saanse meri rukti nahi tab tak,
K tujhe khud me mahsoos na kar loo jab tak.....
k banjar hua ja raha  hu mai bina tere,
ku akhiri ehsaas tootne se ruk jata nahi tab tak,
k akhiri armaan poora mera hi na jaye jab tak,
kyu jindagi me tofaan koi aata rahta hai,
kyu baki nahi rah jaati jan mujh me tab tak,
k tu har pal mujhme na simat jaye jab tak......
bojhil mera dil ku thak jata hai,
rota hai,
ghabrata hai,
aansoo bahata hai,
kyu jindagi thokar mujhe marti nahi tab tak,
k koi mera mujhko samet le aoni bahon me jab tak,
bekhabar bejubaan dil mera ku dard bayan karta nahi  tab tak,
k koi aayat khuda ki tujhse roobaru hoti nahi jab tak.......
kyu gair koi mujhe dard de jata hai,
kyun mere liye khuda sab bhool jata hai,
kyu har kisi k rooth jane par tu pyar mujhe karta nahi tab tak,
k aankhen band ** jaye meri par ehsaaas tera mujhme rah jaye jab tak,
k saanse agar na bhi chale,
par jikr tera chala rah jaye jab tak........
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
1.1k
 
Please log in to view and add comments on poems