Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
VENUS62 Jul 2014
Swaymvar- Wedding! With Translation in English

Kavi, tha khayalon me khoya
Dard-e -dil soch ke roya

Tab Apsara sundarsi hui prakat
Ahista se gayee Kavi ke nikat

Likhte kyun ** kavita hamesha udaas
Racho koi rachna jisme ** harsh-o- ulhas

Ghatne wali hai ghatna avismarniya
Reh jayega baki sub kuch asmarniya

Aney wali hai baraat aaj raat
Yahi kuch gyarah- barah baje ke baad

Chaand ke saath hogi chandni
Sitare layenge jhilmil roshni

Indra layenge varsha ko saath
Varun ayenge thamey badalon ka haath

Suraj layenge bas kiran ek
Teeno mil sajayenge indradhanush anek


Draupadi ke saath honge punch pandav
Shiv bhi karenge nritya tandav

Agni khud karenge havan
Halka sa jhonka denge Pavan

Patton se banegi chudiyan hari
Maang mein mitti hogi lal sindoori

Aasman mein cha jayega kala-neela sa rang
Krishna jab nachenge radha ke sang

Rachegi khoob ras leela wahan
Dekha na hoga kabhi ye jahan

Pakwan har ek hoga anvesh
Bhojan hoga bahut hi vishesh

Srishti banegi ati ati -sundar
Rachegi jab
Ambar aur dharti ka swayamvar!



Translation The Wedding!
The poet was lost in thought
Heartbroken and distraught

When appeared an Apsara ethereal
She touched his shoulder lightly

Why do you write poems full of sorrow
Do write some poems replete with joy

About to happen is an event memorable
Everything else will be forgettable

The bridegroom will ride on a chariot light
Around eleven-twelve tonight

The moon will swing in with his moonlight
The stars will twinkle on their own shining bright

Indra will bring along the rains
Varun will hold the clouds in rein

The sun will be present as a single ray
The trio will create a rainbow array

Draupadi will come with five pandav
Shiv will swirl to his Dance Tandav

Agni himself will do the Havan
Gentle breeze will be supplied by Pavan

The bangles will be made from leaves green
The color of the earth will be vermilon red

The sky will be decked in black and blue
When Krishna will dance with Radha his beloved true

There will be celebrations lavish
Mortals will be left in disbelief

The food will indeed be delectable
Each dish will be a creative spectacle!

Creation will be at her very best
When the earth and sky
will be in their union blessed.
Shrivastva MK May 2015
Tujhe apna banayenge hum....
Tujhe apne DIL me basayenge hum,
Tu muskurati rahe sada,
Esliye tere saare dukho ko churayenge hum,Tujhe apna banayenge hum,
Tujhe apna banayenge hum.....


Dhundhta hain dil bhi Tujhe mohabbat ke bazar me,
Ji raha hoon abhi tak teri hi intezar me,Chalkar kahi door PYAAmR Ka aasiyana banayenge hum,
Tujhe apna banayenge hum,
Tujhe apna banayenge hum......


Teri hi yaado me khoya hoon,
Kabhi khushi to kabhi gum ke aansoo roya hoon,
Tu kahe to sanam,
Tere liye chand taro ko tor layenge hum,Tujhe apna banayenge hum,
tujhe apna banayenge hum...


Tu etni door hain kaise bataoo tujhe,
Mere DIL me sirf tum ** kaise dikhaoo tujhe,Pyar to karte hawayen bhi Panchhio se
Tabhi to kahte hain
tujhe apni bahon me bharkar kahi dur chale jayenge hum,
Tujhe apna banayenge hum,
Tujhe apna banayenge hum....
Notes (optional)
Shrivastva MK Jun 2015
Pyar ke deep jalayenge hum,
Mil kar sath sabhi
Desh ki takat ko badhayenge hum,
Es desh ki mitti hamari hain,
Yahi par janam liya hain
yahi par mar jayenge hum,
Pyar ke deep jalayenge hum,

Mita ke nafrat logon me
phir se bhaichara layenge hum,
Auraton ka samman karenge
Use vishav me devi ka darja dilayenge hum,
Mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum,

Banenge hum besaharon ka sahara
Apne aap ko itna takatwar banayenge hum,
Na koi bada na koi chhota hoga es desh me,
Ese hi puri duniya ko batayenge hum,
mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum...
INDIA

— The End —