Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Door kahin hokar khada jab dekhta huu mai duniya ko,
Kabhi khud ko dekhta hu kisi aur me,
To kabhi kisi aur me khud ko bhi dekh leta hu,
Kai rote hue chehre dikhte hai,
To kai tadapte hue dil bhi dekh leta hu,
Koi dikhta hai talabgaar khushiyon ka,
To kai baaar koi khushnuma manjar bhi dekh leta hu....
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Koi mehnat k baajar me pani pani hote dikhta hai,
To koi makhmali bistar pe aaram talab jindagi jeeta hai,
Koi chor hai makkar hai to koi in sabka gunah gaar hai,
To kai baar jindagi me imaandaar se bhi milta hu......
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Ghumte ghumte kai bar jab koi ghar dekh leta hu,
Chor bankar kabhi jab ghar k andar jhank leta hu,
Koi deewar tooti hui dikhti hai ,
To koi aalishan mahal bhi dekh leta hu,
Koi ghar hota hai jisme dikhte hai bhookhe nange,
To ghar kabhi har sukh suvidha ka praman bankar dekhta hu........
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Kai baar koi maan bache ko pyar karte dikhti hai,
To kabhi pet bharne k liye khud ko bhookha rakhne vali bhi dekh leta hu,
Koi mahal mai dekhta hu sone se madha,
To kai baar kisi ghar k bachon ko bhookh se bilakhta hua bhi dekh leta hu,
Dekhkar ye bahurang duniya k mai khud ko aur majboot bana leta hu,
Na gareeb khud ko aur na kabhi ameer bata pata hu,
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko..
Ashish Gaur Mar 2021
Aajkal Bolna hota hai kuch merko
Par kuch aur hi bol jata hu me
Aajkal hasta sabke saath hu me
Bas tumhare saath hi muskura pata hu me

Aajkal harr raat sone toh jata hu me
Par sapno me tumhari awaz sunke uth jata hu me
Aajkal ek hi gane ko sau baar sunta hu me
Phir kyu tumko soch kar sau gane likh jata hu me

Aajkal hota toh me yehi pe hu
Par kissi aur ke khayalo me doob jata hu me
Aajkal raaste toh bahut leta hu me
Par manzilo me tum tak pahuch jata hu me

Aajkal zindagi lagti hai mere sapno ki tarah
Phir lagta hai galti se uth na jau me khi
Aajkal har pal jeeta hu me zindagi ki tarah
Phir sochta hu ye pal bheet na jae khi

Aajkal sanse tham jaati hai meri
Bas Jab bhi hoti ** tum sath
Aajkal dhadkne dhadkti hai meri
Bas Jab tak tum ** saath
Tum bolo toh neend le lo meri...
Ya phir...jagta rahu...ek nayi raah ko band khirkiyo se...
Ek tarfa...hi jeeta chala jau...
E dil e naadan...
Mujhe kya hua hai...?
Kya mujhe pyaar ka bhoot to nahi ** gaya hai?
Aur bhoot ki tarah...
Lamhe lamhe...
Boond boond...
Beparwah... awarapan...
Ek awaaz...ishq ki jheelon me
Ghumta ghumta
Chand ki taraf...dekhta dekhta...
Aur hawaaon se khirki tod di ...
Tum paas aayi

Thoda Pagal mein...
Thodi pagal tum
Aur dono chale...
Pagalpan me...
Masti ki kasti me
...meelon dur...
Raat ki neend aankhon me liye
Aur raaste pyaar ke banate hue...
Anjaan se jaan bante hue...
Aur phir aur...

— The End —