Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mujhe wo aksar kehta tha
Muhabat kuch nhi hoti

Hijar ka khauf be matlab
Wasl k khwab bemani

... Nighaoon main koi soorat
Kahan din rat rehti hai

Usy q khamoshi kahain
K jis main bat rehti hai

Wo ankhain kaisi hoti hain?
Jahan barsat rehti hai

Yeh ansu bezaban ansu
Bhala kya bol saktay hain

Or uski narm palko pe nami
Din rat rehti hai

Mujhe wo aksar kehta tha
Mohabbat kuch nahi hoti

Magar jab aj barson bad
Main ne usko dekha hai

K uski jheel ankho main
Hijar ka khof rehta hai

Wasl k khwab rehtay hain
Wahan barsat rehti hai

Yun lagta hai k barson se
Wo soya v nahi shayad

Yun lagta hai kisi ki yada barson se
Usy din rat rehti hai

Or uski narm palkon pe
Haseen saay be geelay hain

Or uski khamoshi aisi k
Jis main bat rehti hai

Mujhe ab wo nahee kehta
Muhabat kch nahee hoti.
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Àŧùl Jan 4
Hindi Original:

Ab Aankhon Mein Neend Kahaan?

Wo to bachpan tha jab so jaate the,
Ab to jaane kaisi fikr sataati hai.
Wo to bachpan tha jab kha paate the,
Ab to motaape ki fikr sataati hai.

Wo to bachpan tha jab khwaab sajaate the,
Ab to saari duniya berang lagti hai.
Wo to bachpan tha jab sab apne the,
Ab to duniya dushman nazar aati hai.

Wo to bachpan tha jab khush raha karte the,
Ab to barson puraana duhkh sataata hai...
Wo to bachpan tha jab bhavishya ki chinta na thi,
Ab to beete ateet ka kabhi na khatm hone waala khed hai...


Here's the translation:

Where Has The Sleep Gone From My Eyes?

That was childhood, when I could sleep,
Now, worries keep me awake.
That was childhood, when I could eat,
Now, fears of weight gain haunt me.

That was childhood, when I'd weave dreams,
Now, the whole world seems colorless.
That was childhood, when everyone was my own,
Now, the world seems like an enemy.

That was childhood, when I was always happy,
Now, decades of sorrow haunt me...
That was childhood, when I didn't worry about the future,
Now, the unending sorrow of the past haunts me...
My HP Poem #2037
©Atul Kaushal
Pahadon Ke Piche Ki Duniya

Behti nadiyan, geet sunaye,
Lehron mein chandni angdai le aaye.
Sabz wadiyan baatein karein,
Hawaon ki palkon pe sapne dharein.

Chhupaa hai yahan ek jahaan naye rangon ka,
Jahan har manzar hai angan guliston ka.
Aasmaan bhi jhuk kar kare guftagu,
Badalon ki chadar tale khwab ** jaaye tu.

Kya yeh haqeeqat hai ya ek dastaan?
Ya hai mohabbat ka koi paighaam?
Milega wahan ja kar hi inka jawab,
Jahan har shai kare husn ka izhar.

Kehte hain, yeh jannat ka ek aaina hai,
Jahan jamal bhi hai aur kamal bhi shana hai.
Hawaon mein ghulay hain afsane kayi,
Har phool sunaye naghme naye hi sahi.

Barson se thi jis pal ki raah,
Aye rohaniyat! Dekh ab woh nigah.

— Rohaniyat

— The End —