Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sk Abdul Aziz Nov 2015
Teri ishq bhi ajeeb hai
Maarti bhi hai
Bachaati bhi hai
Hasaati bhi hai
Rulaati bhi hai
Taqaat bhi deti hai
Kamzor bhi banaati hai
Kabhi kabhi sochta hoon
Tu haqeeqat hai
Ya mera khwabon ka koi sunehra hissa
Iss beraham duniya may
Kya sahi mainoy humara koi wajood hai
(The above language is a mixture of Urdu and Hindi.)

English Translation

Your love is strange
It kills
It also saves
It makes me laugh
It also makes me cry
It gives me strength
It also weakens me
Sometimes i wonder..
Whether you are a reality
Or just a pleasant figment of my imagination?
In this heartless world
Do we really have any existence in the actual sense?
Abhisek Agrawal Apr 2020
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.

Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.

Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.

Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.

En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
abhisek.agrawal@gmail.com
http://youtube.com/user/abhs253/

— The End —