Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
aviisevil Oct 2016
Jo wahan hai wo yahan hai
Jo yahan hai wo wahan hai
Par-e-dil gumshuda
Na Jane kahan hai
Ek chota sa to ye jahan hai
Hum to isse bhi bant chale
Dil to ek chota sa makam hai

A us ***** ko bhi sath le chalein
Jispe uska kudha mehrban hai
Ye to ek aeine ki zaban hai
Jane teri ankhein kahan hai
apne ko hi kyu karta hai khafa
Tujse zada insan to asman hai
Koi lakeer zisko na bant sake
Usse bant diya tune jahan hai

ab to diwaron me hi tu fanaa hai
agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?

rok na sake koi usse
jisko khaboien ki panaa hai
Jo pyar me bana hai
lakeeron ke uss par bhi to ek sapna hai
udhar bhi to koi shayad apna hai

agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?


ye jo rasta tumne chuna hai
akele pad jaoge tum beete kal
ye jo hai tumhari addat
ki ab to ibadat bhi gunha hai
kya tumne kabhi dheere se suna hai
wo ek muskaan ki shararat
jiska arth bhi tumko mana hai
dekh le us fakeer ki nazakat
jo tere mere khoon ki milawat
us lakeer ki ahat pe kurban hai


agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?

— The End —