Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Feb 2017
Nam ** jati Hai aankhey
Ye baat soch kar,
Kyun chale jate Hai log
Aksar kisi ka dil tod Kar,
Jite Zindagi bhi ban jati maut us din
Jis din chale jate wo Pal kisi ki saans ban Kar,

Khele jate Hai es duniya me
Dil ka zajbat ban Kar,
Dete Hai dhokha yaha log aksar
Kisi ka khaas ban Kar,
Sabko pta hota Hai anjaam pyar ka
Phir kyon rote log kisi se pyaar Kar,

Pyar andha hota Hai phir
Kyon pyar karte log surat dekh Kar,
Jinka pyar sachha Hai wo
Amar ** jate Hai Mar Kar,
Ghut Ghut ke Ji rha hu
Mai ab zinda lash ban Kar...
Ek zinda lash ban Kar...
Feelings of love and life
Shrivastva MK  Jun 2017
MAA
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother

— The End —