Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Poems

Eshan  Mar 2011
Udaan
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Kumari Shivangi Dec 2020
Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Pure din baat ** ya na **,
Lekin gn gm msg na aane par dard hota hai.

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Bas subah ek ankh khol k wish krna
aur tere kehne p uth jati hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Missing you , Love you
kehne se me apne dil k shabd naap leti hu
Pyaar jahir krti ni par fir bhi pyaar krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Nahi babu thoda late ** gya
Sun ke man me gussa lekin
chehre pe sirf muskurahat hoti hai

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Man daba Kar bhi tujhe sula deti hu
tujhe dard me kehrata dekh ni dekh pati hu
Vo sukoon ki neend tujhe ae uski dua krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Gussa tera seh kr bhi tujhe manane m lagi rehti hu
aur khud gussa hone p shant bethi rehti hu
Jhagda hone p khtm hone aur tere mesg ane ka wait krti hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Tera paas hone ka sukoon rehta h
aur vo shikayato ki lambi chaudi list bhi
tujhe dekhte he bhul jati hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Pas na hone p bhi pas rehti hu
aur har cheez ka hisab rkhti hu
Baat na maanane p datati bhi hu

Mera pyaar bhi such me kamaal ka h
Teri wo smile dekhne k lie na jane kya kya krti hu
Aur agr kahi ruk jae to hath pakad leti hu
Dua me tera dard mang leti hu
teri salamati k lie hazaro darbar jaati hu
-KUMARI SHIVANGI
Roj wahi uthate he subah sabse pehle dimag m uska khyal aur nok jhok hone p 1 ghnate baad wapas aa jana... Dur hone p love you and missing you text s apni feeling bayaan karna aur uske pareshaan hone p mera pareshan ** jana... uska gussa chup s jhelna kyunki pata h ki baad m iske lie sorry bhi bol dete h aur uski ek hasi k lie hazaro pantia karna... Roj late hone p daantna aur thak jane p jabarjasti sula dena... Mera pyar bhi kamaal ka h... Na chah kr bhi beshumar h...
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?