Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2018
Aaj ke pyaar me ab wo purane zazbaat nahi,
Sirf aansoo hi milenge logon se par vishwas nahi,
Rona tou Saab ab aadat ban *** hai,
Kyuki ab en aansuo ki kimat  koi khash nahi,

Ab es dil ko kisi ki chahat ka intezar nahi,
Lafzon se ghayal hain hum,Kisi khanzar ki darkaar nahi,
Jise sazaya tha murat ki tarah es sine me humne,
Usne hi kahan,Hume aapse pyaar nahi,

Hum wo kasmein bhul sakte,tute khwab nahi,
Dil tod wo kahte hai,Hume tou kuchh bhi yaad nahi,
Aaj kahte wo humse,maaf kr dijiye hume
Par mere ek bhi prashno ka unke paas jawab nahi,

I hate the love which is done only for selfish reason...
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
  1.1k
   ---
Please log in to view and add comments on poems