Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi May 2017
Tere bin yeah zindagi mazaak see lagti hai
Har  dhuvay mai lipti apni he aag lagti hai

Tunay thama tha hath mera toh hum chalna jaan gaye
feesal rahia hai kadam kyun ki thokarey apni he lagti hai
Nigahain num naa huvi  toh gilla rehta he hai
Har katrai-e-ansu phir bhi ek shikayat see lagti hai
Yeah kis mode pay hum akay rukay,na manzil hai aur naa rasta
Faryaad kissay ab karey ki har shey ajnabi see lagti hai.
ghum-e-samandar k kinarey pay  tanhaa betha hai yeh dil
Pass aye toh aye kon ki dardkaney bhi ab sazaa see lagti hai
Bichard kay tumsay hum khoye kahaan naa maloom hai
Jistiju mai har bikhra nishaan apni he pehchaan lagti hai
Yeah kaisi inayat hai ki tummay mang kar yun ruswaye milli
kyun har dua ab yun khairaat see lagti hai
Yeah ishq kyun aisa hai ,naa tera hai aur naa mera
kab aye aur kab gaye ki choti see mulakat lagti hai
Ab aur nibaya nhi jata RUMI,yeah **** bina rooh  kay
Mere waja say yeah duniya kyunki pereshaan see lagti hai

...Aabid Rumii
Tanzeelah Illahi
Raat se raat tak
Raah me ek raag ...
Liye mein chala
Chalne Laga..yeh mann
najane kis dar me ...
Hichkole khata...
Khafa khafa sa khud se...
Parvato me dooba...
Ek Nadi Ko dekhta...parvat ke shikar par...
Phir ...haste haste...aur unchaiyaan dekhne Laga...
Khwaab e Nasha...
Sangeet me dooba...
Toh thodi Rahat si Mili...
.






..
Abhishek Ashish Oct 2017
Ruk-Ruk kar chalna, girna aur sambhalna,
Koi mujhe rokna, jara sa koi tokna….

Wayastata se thora saham gya hu,
Dil mein bane apne khali ghar se thora machal gya hu,
Koi to jara tokna, thora sa to tatolna...

Sapne kahi beshud se pare hai,
Chaandani raato mein andhero se ghire hai,
Pata nhi kise dhundh raha hu,
Ya andheri galiyo mein yuhi ghum raha hu,
Der hui par thama to nhi hu,
Thora sa bhatak gya par bhula to nhi hu,
Kahi kisi ne awaaz lagai hai,
Dur kisi ne to roshni jalaai hai..

Jara thori dur sath chalna, thora sa to mujhe samajhna..
Sun mere khuda,
Tujhse hai Meri iltejaa.
Meri har saans pr unka saath likhde,
Jab ** unki aakhiri swaas Meri saanse bhi band kar de.
Ek pal ki bhi zindagi nahi chahiye unke bina,
Unke bina nahi Hain mujhe kabhi jeena.
Tumne kabhi kisi se sacchi mohabbat ki **,
Kasam hai us mohabbat ki tumko.
Meri saanse bhi thama dena,
Jab unhone kehna ** alwida.
Suniye na meri jaan mere mahiya,
Aapse bhi hai humein kuch kehna.
Aapko kasam hai humari,
Jab saanse saath chhor de tab bhi hum sirf aapki.
Apne sang leke jaana.
Chahe ** dharti ya khuda ka gharana.
Shiddat se badhkar mohabbat ki hai aapse,
Hum aapke they hain aur rhenge humesha sirf aapke.
Koi janam nahi chahiye jahan aap na **,
Koi saath nahi chahiye agr saath aapka na **.
Koi saans nahi chahiye jismein aap na **,
Aap ** tou hum hain, aapke bina koi zindagi na **.
Maante hain pareshaan krte hain hum aapko,
Achha lagta hai humein tang krna aapko.
Jis tarah aap fikar krte ** humari,
Daant mein bhi pyaar bhara hota aapki.
Kasam se kasam ko kasam ka waasta,
Hey khuda sacchi shiddat ko juda na krna
LLZ May 2020
Chalo fir se himmat Kar li hai,
Pyaar karne ki sirf tumhare liye,
Is baar hath tumne thama hai ,
Use akela chod na Jana.
Fir Tere vado pe yakin Kar liya mene,
Use tod na Jana.
Musibat aaye toh milkar sah Lena
Phele ki tarah yu tanha chod na Jana.
Pehele toh bas Tut ke rah gaye the hum,
Is baar dur gaye toh bikhar jagenge hum.
Laut aaye ** tum fir ,
Is baar mujhe chod na Jana .

— The End —