Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2015
MAA

Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,

Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,

Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,

                PITA

Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,

pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,

Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan  bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,

maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Dedicated to my parents
Shrivastva MK Jun 2015
Pyar ke deep jalayenge hum,
Mil kar sath sabhi
Desh ki takat ko badhayenge hum,
Es desh ki mitti hamari hain,
Yahi par janam liya hain
yahi par mar jayenge hum,
Pyar ke deep jalayenge hum,

Mita ke nafrat logon me
phir se bhaichara layenge hum,
Auraton ka samman karenge
Use vishav me devi ka darja dilayenge hum,
Mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum,

Banenge hum besaharon ka sahara
Apne aap ko itna takatwar banayenge hum,
Na koi bada na koi chhota hoga es desh me,
Ese hi puri duniya ko batayenge hum,
mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum...
INDIA
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother

— The End —