Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
Grim Reaper Aug 2016
Khyal tera a jata he
bewaqt.
Kuch wo baaten,
kuch wo nazre(Eyes) a jati he
yaad.

Kis tarah hui thi
Shuruwaat.
Kuch wo raaste,
to kuch wo nazare(pleasure) a jate he
yaad.
Manvee Chauhan May 2020
Khushi Ka ek Naya daurr sa shuru hua tha....
Jo shayad mukammal hone se pehele hi khatm hone ki raah chun chuka tha!!!
Ye Zindagi hi badi ajeeb hai....
Shayad ise jeene k liye Chahiye ek behtar naseeb hai!!!!
Or naseeb k to kya hi kehne..
Hamari Zindagi mein to Hain sirf dukh - dardd na hi Khushi k khoobsurat gehne !!!
Sochte Hain ki ab nayi Zindagi ki shuruwaat kr hi lein....
Lekin hum kya jaanein ki Safar mein to iske Bhi khoonkhaar kaante biche Hain!!!
Lekin kab tk jakde rakhenge khud ko in darr ki bediyon mein ...
Sochte Hain ki ab jee hi lein in khubsurat Himachal ki vaadiyon mein!!
Shayad sb is baat se anjaan Hain ki hum Bhi Kabhi Kuch likhne ki himaakat kr lete Hain.....
Chalo Acha hi h, jee Lene dete Hain unhe is bhram mein ki hum har cheez mein nakkamyab rehte Hain!!!
                                              @HeartlyxPoems
Sk Abdul Aziz Oct 2021
Tanhayi say rishtay purana hai hamara
Meray buray waqt may bhi yehi banti hai mera sahara
Kabhi mujhay dhokha nahi deti
Hamesha saath nibhati hai
Meray har dard ko samajhti hai
Din ki shuruwaat uus say hoti hai
Raatko uski aagosh may khudko saup deta hoon
Hamara ishq ab apni bulandi par hai
Bohot jald hamara nikah hoga
(Hindi and Urdu)

English Translation

My relationship with loneliness goes a long way back
It's my only support during my times of distress
It never betrays me
Always faithfully supports and maintains our relationship
It understands every bit of pain that I feel
My day begins with her
And at night I surrender and submit myself to her embrace
Our love is now at its peak
Very soon we'll get married

— The End —