Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dev Singh Apr 2017
Originally written on 26/05/2005.

Hum khud ko ek raat, phir yuhi ek baar, bhool gaye.
Aap nahin to aap ka yaad dilaana hi phir bhool gaye.

Ab to yeh bedaad-e-yaad waqt ke saath sehte sehte,
Khud se daad-e-dard ki umeed-e-intizaar bhool gaye.

Kabhi dhoond te the hum bhi ma'anee apni wajood me,
Lekin raat hui to wajood ka ma'ana hi ab bhool gaye.

Chale the hum na jaane kaha apni ehatimaam-e-yaad ko.
Is ehsaas ne humme roka ke hum gham-e-gharaz bhool gaye.

Humare baat karne par karte hain humare jeene ki tasali.
Koi toh samjhaye ke jeete jeete hum jeena bhool gaye.

------------------------------------

One night, once again, I’ve forgotten myself.
You’re not here so I’ve even forgotten your reminders.

Now after putting up with this injustice of memory, over time
I’ve forgotten to wait for the hope of a justice of sorrow, from myself.

Once I used to search for meanings within my identity
But now when night falls, I’ve forgotten the very meaning of my identity.

I don’t know where I was going to sort out my memories,
But this realisation stopped me that I’ve forgotten the very purpose of my sorrow.

By talking about me, they assure themselves that I am alive.
Somebody explain to them that even though I’m alive, I’ve forgotten how to live.
Har haal mein hum behaal rahe  
Gham-e-jaan se har dam ndhaal rahe  

Tumhari chahat ki rahguzar mein  
Kabhi khaak, kabhi paimaal rahe  

Na khwab bane, na taabeer mili  
Bas azaab hi azaab ke hamaal rahe  

Dhoop sehte guzargayi sadiyaan  
Shab-e-hijr ke hi sawaal rahe  

Mohabbat ke saahil bhi door the  
Aur dil ke toofaan be-zawaal rahe  

Shajar-e-umeed ka saaya na mila  
Hum faseel-e-gham ke kamaal rahe  

Jo charaagh jalaye the aarzu ke  
Wahi aandhiyon mein bemisaal rahe  

Rah-e-wafa mein the zakhm beshumaar  
Phir bhi hanste rahe, lajawab rahe  

Humne socha tha dil ka dard sunayein  
Magar lab pe qufl, aur sawaal rahe  

Har shaam ne tanhai ka zehar diya  
Har raat ke geet bhi malaal rahe

— The End —