Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivpriya Jul 2019
Mere priye paardarshi!



O mere priye paardarshi,
Apne muskurate hue
pratibimba ke saath
meri raksha karna!

Mera saahil nibha
chuka hai kuch
laazim vaaden!

Pyaas nahi
rahi, toh
sahan-sheelata
kese aayegi is
dardmand-dil se?

O naavik, apne
chhipe hue gamon se
Is aashiqe-beemaar
ka khyaal rakhna!

Apne khule dil se iski
sthiti aabaad rakhna!

Apne zameer ko dokha
mat dena!

Majnu ki tarah mat rona!
Majnu ke hausle ki tarah
jaroor chamakana!

-Shivpriya
#shivpoetesspriya
Har haal mein hum behaal rahe  
Gham-e-jaan se har dam ndhaal rahe  

Tumhari chahat ki rahguzar mein  
Kabhi khaak, kabhi paimaal rahe  

Na khwab bane, na taabeer mili  
Bas azaab hi azaab ke hamaal rahe  

Dhoop sehte guzargayi sadiyaan  
Shab-e-hijr ke hi sawaal rahe  

Mohabbat ke saahil bhi door the  
Aur dil ke toofaan be-zawaal rahe  

Shajar-e-umeed ka saaya na mila  
Hum faseel-e-gham ke kamaal rahe  

Jo charaagh jalaye the aarzu ke  
Wahi aandhiyon mein bemisaal rahe  

Rah-e-wafa mein the zakhm beshumaar  
Phir bhi hanste rahe, lajawab rahe  

Humne socha tha dil ka dard sunayein  
Magar lab pe qufl, aur sawaal rahe  

Har shaam ne tanhai ka zehar diya  
Har raat ke geet bhi malaal rahe

— The End —