Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
FIR AAYI HOLI

Fir aayi Holi ek baar, fir le gayi mere  dil ka karaar;

Puchhna chahti hu, kyu rulateho tum mujhe yuhi, baar baar.

Itne rango ke beech bhi hei tan man feeka; aankhoki pichkaarise behte hei aansu zaar zaar

Saalo beet chuke firbhi nazar dekhti hei teri raah, lagaataar.

Radha ka pyaar hi hei kuch aisa, maanta nahi yeh kabhi haar

Jaise kanha ke beena Radha adhuri aise hi, piya- milan beena, Holi hei  adhuri.

Kanha tere beena rang feeke, Chand feeka; soona lage mohe sansaar.

Aa bhi ja Mohan, itna ne tadpa, raah niharu tori; kab aayega tu jamuna paar.

Armin Dutia Motashaw
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Jo kal mere sath sahmati ke
Rangon ke kalaap sang hansi baant rahe the

Wo hi aaj hansi ka mohra
mujhe bana rahe the

Mujhe apni batane ki sudh kaha
Hansi mujhe aap mein aa rahi
Duniya ke iss
Jane anjane nasheeley baagaan ke beech
astitva jiska khud hi dhuaan hai

Kal gar jo mujhe rota hua tumne dekh liya
Toh mat puchhna matlab uss nazare ka
Wo nazara, jo meri ruh ko sula khud
Ek naatak dikha raha hoga
Iss badan ka.

— The End —