Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Oo panchhi le jaa meri chitti us jahan mein,

Jaha rakha hai meri maa ko us uparwale ne.



Pahuchana mera ye paigaam un dono khuda ko,

Ek meri maa jo jaan se pyaari hai mujhko.



Aur ek bhagwaan ko jinhone meri jaan apne pass bula li,

Meri maa unke pass hain wo bhi ** gye bhagyashaali.



Shukriya hai maa aapka jo aapne un ishwar se keh ke,

Aapke jaisi parwaah karne wala bhej diya zindagi mein.



Humari zindagi mein aake zindagi bn gye hain wo khuda ka farishta,

Dil se dil ka rooh se rooh ka hai unse ye khubsurat rishta.



Behad khushnaseeb hai aapki beti jo mila aisa jeevan saathi,

Wo mile tou in dadhkano ko jeene ki wajah mili.



Apni rehmat humesha banaye rehna,

Unhe har pal mehfooz rakhna.



Unki khushi se barkaraar hai humari khushi,

Unka mukhda tou hai misaal saadgi ki.



Dil hai unka pavan pavitra jaise ** sacche dil se bhakti,

Unke saamne sajda kar lu tou ** jayegi ibadat -e- bandagi.



Kayenaat bhi feeki lage unki rooh ki khubsurti ke saamne,

Badi hi fursat se tarasha hai unhe us khuda ne.



Wo mil gye sab kuch mil gayaab kuch nahi chahiye,

Oo panchhi udd ja lai jaa meri ye chitthiye.
pnam 5d
Tere liye pyaar ne pankh lagaye
Mera dil chahe panchhi ban ud jaaye
Tere liye mor ne pankh bikhraye
Saawan ki aas mein kitne rang dikhaye

Teri baaton ka sur hawaaon mein ghul jaaye
Saans se saans tak chhupi baatein chalti jaayein
Chaandni raaton mein tera khwaabon ka jahan
Tere ishq mein, har pal ek naya armaan hai

Tere liye yeh pyaar pankh lagaye
Door ambar mein panchhi ban ud jaaye
Tera ishq rahe sadaa be-andaaz
Har lamha agla pal sun-hare sajaaye

Teri aankhon mein hai ek saahil ka aalam
Har lehar mein chhupa ek naya manzar hai
Bheegi si khamoshi ke raag chal pade
Tere saath guzarta har lamha bemisaal hai

Baarish jugnu ka noor na mita de
Mor ka naach aandhi mein tham na jaaye
Tu bhool na jaaye, mera dil ghabraaye
Veeran na ** jaaye saaqi mere khwabon ka

Jab baarish thehri, ta-roon kamal khil jaaye
Doodh chandni mein rang bikhar jaaye
Jugnu phir se tere ehsas mein jhil-milaye
Aur mera pyaar phir pankh lagaye

Tere liye yeh pyaar pankh lagaye
Door ambar mein panchhi ban ud jaaye
Tera ishq rahe sadaa be-andaaz
Har lamha agla pal sun-hare sajaaye
Meri fitrat mein tu sadaa basa rahe......


----------------English Translation------------

For you, love has found its wings,
My heart longs to fly, a bird that sings.
For you, the peacock spreads its wings wide,
In the hope of rain, colors come alive.

Your voice melts into the breeze,
Whispers wander with such ease.
In moonlit skies, your dreamlands gleam,
In every breath, a brand new dream.

For you, this love takes flight on high,
A bird that soars in the endless sky.
May this love forever blaze and roam,
Each moment a dream in golden bloom.

In your eyes, a shoreline calls,
Each wave reveals new miracles.
Songs of silence softly play,
With you, each moment’s a rare ballet.

Let not the rain ***** fireflies' glow,
Let peacocks dance through winds that blow.
May you never forget my trembling heart,
Or leave my dreams to fall apart.

When the rains come to rest, pond-lotuses gleam,
Colors blossom in moon’s soft beam
Fireflies flicker in your tender grace,
And love again finds its winged embrace.

For you, this love takes flight on high,
A bird that soars in the endless sky.
May this love forever blaze and roam,
Each moment a dream in golden bloom.

In the fabric of my soul, you will stay,
A breath of my being, come what may...
Listen to Audio version:
https://suno.com/song/7bb8b532-a496-4f30-85e1-5dea1b0576c3

— The End —