Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
BJ Sep 2020
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum behad khoobsurat **.
Ye jo tumne akhon ke kajal ko b palko ki had me dal rakha hai.
In aankhon ne jane kitna kehar sambhal rakha hai.
Kya chamak hai aankho me jaise ek choti si khush duniya ka sapna paal rakha hai.
Socha cheru thoda tumhe or thoda sata du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum nazneen **.
Phir kuch tumhare galon k un khaddo ki gehrayi dekhi.
Na us se gehri koi khaayi dekhi.
Nazar htane wala tha k us muskan ne rok lia..
Muje aj sambhalne se pehle tere chehre nadan ne rok lia.
Jane tumhe ye sab kehna lagta hai khata kyu.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum dilnashi **.
Vo choti si kali bindi jo thik maathe k me kahi hai.
Vo b har shayar ko kheench rahi hai.
Jaise muje kehti ** idhar aao tumhe kano k jhumko ka pta du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum dalkashi **.
Ye phir thode uljhe thode suljhe baal hai.
Inki to ada hi bemisal Hai
Tumhe tang karte hai.
Manmarji chalate hai jaise tujse jung karte hai.
Chere pe aate hai tum unhe phir peeche karti.
Kabhi clip se kabhi rubber se kheenche rakhti **.
Kabhi aaye chehre pe to shayad main b hta du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum koi kehkasha **.
Or vo sone ki nath ko koi
kaise taal sakta hai.
Jise tumne apni teekhi si naak me daal rakha hai.
Or kuch batein in sab se pare hai.
Tera chutkan sa Gussa hai jane tu kaise handle kare hai.
Phir vo pyari si hasi vo sharm haya  vo bachpana vo nadaniya.
Samjhdari vo nasamjhi
Vo adayein vo shaitaniya.
Or sambko tumne brabar rakha hai.
Jane ye hisab kaise lagakar rakha hai.
Kya kehna hai kya sunna hai kya bolna hai kya btana.
Kab ruthna hai kab manana hai kab satana hai kab jatana hai.
Teri har ek choti moti khoobiyon ne dil me aatank macha rakha hu.
Jane tune kitne salo se khud ko ishq se bacha rakha hai.
Jane mujme kab se or kyu ye thode guroor k lakshan aaye hai
K tuje suna sabne hai samjh sirf hum paaye hai.
Tum jaisa or koi mere aas paas ni hai.
Phir kaise manliya jaye tum aam ladki ** tum me kuch  khas nahi hai.
Ha aj maine ek kadam apne beech ki sarhad se thoda bahar aaya.
Tumne apna hunar azmaya tha vo pic dalke use shayri bnake maine apna hunar aazmaya hai.
ye padhke tum socho k inam du is shayar ko ya koi saza du.
Are tumhe dekha aj to lga ye sab tumhe bta du.
Haq hai nhi mera koi phir b thoda haq jata du ..
Or kehdu tum afreen **.

Tum khoobsurat **.
Seema Aug 2017
Kya kabhi patharo ne siskiyan li hai?
Kato ne chubna chor diya?
Dil ne dhadakna;
Aur ankho ne barasna chor diya?

Kya kabhi kadi dhoop mei,
Indradhanus ko haste huwe dekha hai?
Iss duniya mei,
Insaano ko ladtey aur marte dekha hai?

Kya tumne kabhi socha hai,
Jiwan mei dukh ziyada aur khushi kam kiyu hai?
Rastey sabh seedhe nahi,
Tedhe rastein bhi manzil ke kareeb le jati hai.

Kya tumne kabhi rotey huwe buzurgh ko,
Aur besahara bacho ko dekha hai?
Apni unchi naak, neechi kar,
Dharti mata ko dhanayvad diya hai?

Nahi na! Ya sambhawna kuch toh kiya hoga.
Ya tumhare dil mein daya hi nahi.
Kya muskurana bhi bhool chuke **?
Apne nahi toh dusroh ke liye kuch kiya karo.

Zindagi ke akhari pal mei, yaad karo ge.
Ek ek din ankho ke samne daud ke jayengi,
Tabh tum yaad karte, muskhurate iss duniya se,
Hamesha ke liye alvida kahe jaoge...



©sim
TRANSLATED

*Do Something Good*
Do the rocks ever sob?
Or the thorns stopped to *****,
The heart left it's beat ;
And these eyes forgot to rain.

Has there ever, in a bright sun,
The rainbow came out smiling?
In this world,
Have you seen people fighting and dying?

Have you ever thought,
In life, why there is more sadness then happiness?
Not all roads are straight,
Crooked roads also lead you to your destination.

Have you ever seen an old man cry,
Or seen unassissted special kids?
Have you ever bowed your head,
To thank this mother earth?

No, isn't it! Or say may have done some.
Or is your heart dead on remorse.
Have you also forgotten to smile?
If not for you, atleast do for others.

In the last hours of life, you will remember.
Each day would run off infront of your eyes,
Then remembering and smiling, from this life,
Forever you'll wave goodbyes...

#unrhymed
©sim
Shrivastva MK Jun 2017
Maine paise ke liye insaan ko badalte dekha hai,
Maine paise ke liye insaan ko tadapate dekha hai,
Ye bhagwan to nahi par,
Iske liye insaan ko marte dekha hai,

Maine Paise ke liye kisi ko kadi dhup me jalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko thand me tadapte dekha hai,
Ye grihdata to nahi par,
Iske liye kitno ke Ghar ujarte dekha hai,

Maine Paise ke liye riste badalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko naak ragarte dekha hai,
Ye koi aahar to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin bhojan ke sote dekha hai,

Maine Paise ke liye insaan ko nazaro se girte dekha hai,
Maine Paise ke liye insaan ko aag par chalte dekha hai,
Ye koi Ann to nahi par,
Iske bina insaan to bhukh se marte dekha hai,

Maine paiso ke liye aurat ke kapade utarte dekha hai,
Maine paiso ke liye Ghar me bahu ko jalte dekha hai,
Ye koi vastra to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin kapade yu tahalte dekha hai,

Maine paiso ke liye Bhai Bhai ko ladte dekha hai,
Maine paise ke liye ladki ko sadak par thirkate dekha hai,
Ye koi bhagya to nahi par,
Esse kaiyo ke bhaag badlate dekha hai,
Bhag badlate dekha hai.....
Its my personal opinion about money,if any word or sentence hurts u sorry for that,
We have really seen the real figure of money,and have seen children working in company for money..
Translation available

— The End —