Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Prime Rhyme Time Jun 2020
Pyaar to kai trha k hote h
Mgr na jaane hmara ye ksa pyaar h
Pyaar k to kai naamo ko ME btadu
Magar smjh NH aata ki hmare is pyaar ko ME kya naam du
Jo kbhi hsata h  to kbhi rulata h
Kabhi naraj krta h to kbhi mnata h
Or jb shk krta h to uske agle hi Pal khud se jyada ykin krne lgta h
Agr khuda b aa kr hmare is pyaar ko byaan krne ki koshish kre  to shyd vo b nakamyab **
Kuki hmara pyaar vo nhi jo lfzo ME byaan **
Pta h mera dil bht ziddi h..  Hmesha ek hi zid krta h
Khta h ki vo tumse milna chahta h.
Tumhare kareeb hone ka ahsas mhsus krna chahta h
tumhari baaho ME jo sukoon milta h vo sukoon mhsus krna chahta h
Tmhari aakho ME aakhe daal k tumse bt krna chahta h
Tumhara haath thamna chahta h
Lekin me usko daat k chup kra deti hn
Mgr kya kru yr apne aasu rok NH paati hn
** ske to Mj cchor k kbhi mt jana
Kuki agr tum mj cchor k chle gye to me apni rooh ko NH smjha paungi ki ab b  **** ME ruk jana
Agr Tmko mjse door jaana b pde to khud ko kbhi akela mt smjhna
Me US lmha tmhare aas paas hi hongi mj mhsus kr k dkhna
Hr Pal dr lgta h tmhe kho dene se
Mgr phr khudko smjhati hn ki is janam nhi to kya hua, agle janam kon rok skta h tmhe mera ** dene Se
Me nh janti ki hmara saath kb tk h
Mgr itna jaanti hn ki hmari rooh ek tb tk h suraj chand jb tk h..
Sk Abdul Aziz Oct 2021
Tanhayi say rishtay purana hai hamara
Meray buray waqt may bhi yehi banti hai mera sahara
Kabhi mujhay dhokha nahi deti
Hamesha saath nibhati hai
Meray har dard ko samajhti hai
Din ki shuruwaat uus say hoti hai
Raatko uski aagosh may khudko saup deta hoon
Hamara ishq ab apni bulandi par hai
Bohot jald hamara nikah hoga
(Hindi and Urdu)

English Translation

My relationship with loneliness goes a long way back
It's my only support during my times of distress
It never betrays me
Always faithfully supports and maintains our relationship
It understands every bit of pain that I feel
My day begins with her
And at night I surrender and submit myself to her embrace
Our love is now at its peak
Very soon we'll get married
Simran pawar Jul 2020
Bewajha
Kisi raha pe ,
Ghum ** jau me to,
Fr dhund ne
Bhi mat ana..

Agar yaad aye mere alfazo ki,
Meri Kavita ki khushboo
Apne saath samjhna,

Na ** ke bhi
muskura dungi,
Es bheegi raat me ,
Zindagi ki Kahani se vakhif kara dungi.

Dhub te pao jab khudko,
Khud se ek sawal karna,
Aur bhul ke vo baat,
Aaage zindagi ke aur badalo se mulakat karna.
Dipika Nov 2017
Uth te hi subh ye ankhe tumhe dhunda karti
Najane Jante hue sabh anjaan bna karti
Dil kehta hui hogi judayi shyd sapne me
Dimaag bol uthta dhoka bhi diya usii apne me
Naa chahte hue bhi teri chah aa karti
Subh subh dil me bhula dard firr le aati,
Kosti hu khudko har subh ikk koshish to ki hoti
Par pyar to usne bhi kiya tha..
Dard me shayad vo aankhe bhi namm hue hogi rotii...


DK..(My diary - Dil se)
Mayank Garg Feb 2021
Seene mein dard aur chehre pe muskurahat leke chalte hain

Kuchh log bhari mehfil mein bhi khudko akela paaya karte hain.....
Sk Abdul Aziz May 2020
Kabhi kabar khudko ek bezubaan jaanwar ki tarah mehsoos karta hoon
Dil may taqleef hoti hai par kisiko woh taqleef bayaan nahi kar pata hoon
(Urdu and Hindi)

English translation-
I sometimes feel like a speechless animal
I feel hurt in my heart but can't quite convey it to anyone

— The End —