Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jul 2015
Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tere dil me rahna hai,
Na ruth jana kabhi mujhse,
Kyoki tera banke jina hai
Mujhe tera banke hi mar jana hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe tera aansoo banke bahna hai,
na bna sako mohabbat mujhe to
gam hi bna lo,
Kyoki tere dard me bhi
mujhe tere sath hi rahna hai,
Mujhe tere sath hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe teri muskurahat banke
tere labon pe rahna hai,
banke kajal teri aankhon ka
mujhe har waqt teri aankhon me hi rahna hai,
Teri aankhon me hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tera khwab banke rahna hai,
Jab gahari nind se band ** jaye ye palaken teri,
teri un mitthe khwabo me apne dil ki baat kahna hai,
mujhe apne dil ki baat hi kahna hai,
TRANSLATION OF POEM:-FIRST PHRASE
     I HAVE TO SAY SOMETHING...
I have to say something,
I have to live in your heart,
Plz don't to sulk with me
becoz i have to live
& i have to die with you,
Rang laayi dua , mojajaa ** gya
jo nahi tha mera, wo mera ** gya    2
rang laayi dua mojajaa ** gya    
2

Iss kadar mat sataa, laut aa laut aa
fir na kahna koi, bewafa ** gya     2
rang laayi dua mojajaa ** gya    
2

Ki aisa lagta hai tumko nazar lag gyi
tum to aise naa the, tumko kya ** gya    2
rang laayi dua mojajaa ** gya    
2

Meri ankho me sota raha dewta
man ke mandir me fir, rat jaga ** gya    2
rang laayi dua mojajaa ** gya    
2

Teri kurbat tera aasara chahie
mujhko isske siwa, or kya chahie    2 *2
manzile khud pe khud, paas aa jayengi
dil me chalne ko bas hausala chahie

Rang laayi dua mojajaa ** gya    
2
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com,www.researchbits.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Dharmendra Kumar Apr 2020
Kahna tum bhi chahti **
Kahna Mai bhi chahta hu
Bas un shbto ka juba pe aana Baki hai
Chalna tum bhi chahti **
Chalna Mai bhi chahta hu
Bas us dagar ka milna Baki hai
Bhigna tum bhi chahti **
Bhigna Mai bhi chahta hu
Bas badal ka garaj ke hampe barashna Baki hai
Dag tum pe bhi lagengye
Dag mujh pe bhi lagengye
Bas kuch logo ka hampe hasna Baki hai
Ruth Kai tum bhi baithi **
Ruth Kar Mai bhi baitha hu
Tera mujhko, Mera tujhko manana Baki hai

— The End —