Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Phir kyu ruka
Dil ki raah me
Intezaar e dard
Manzil e jaam
Raat ** ya din
Ek naye  Roz me
Sochta aur beeta yeh din e tamanaah
Dil se dur ek kashish e adhura...
Chalta yu ki kab gir gaya...
Hosh e kaabil na raha...
Deewana pagal madhoshi me bheega...
Khuch sawaal liye awaaz e dard...
Khud ko hi jalata yeh mann...
Aashiq e kaabil sapno me bhi haar gaya...
Darte hue gulaab ke lamhein me bikhra
...lamho me khoya khud ko kaed kiye...
Ghumsum chup... Niharta aankhon hi aankhon me...
Shayad nisabadh .... Talash e sukoon ki...
Pyaare pal ki. ....Wohi aarzoo..phir se...
Kya sach me sach hoga ek sapna...?
Ya phir sote hua neend e darr me
phir se kho sa jayega woh lamhe!!!
Mein phir waqt e sharabi
Shubah ko shaam ki tarah dekhta
Purane waqt ki nadiyaan behne lagi...
Jaisi dil e kaabil na kaabil ek tanhai me
Dard e jaam
Dua e adhura haqeeqat
Gehri si haweli
Aur oski nazrein
Yaadon ka
Silsila
...
.
Ab Teri nazron me
Mein firta raha
Yunhi zulfon se khelta raha
Kabhi Teri narazgi
Kabhi ishq e aashiqui
Yunhi waqt e haqeeqat me dhoondta
Dil se dur
Dil ke kareeb
Kaisa yeh pyaar hai...
Gazab sa ajab sa ishq hai
Khawaab e kaabil ghumne chala
Manchala mein
Manchali woh
Dono Milo dur
Waqt ko waqt banate hue
Bewaqt ek wajah se bhagte hue...
Nayi raag me
raah e jindagi banate hue
...
Kasoor e kaabil
Tu dur e manzil
Darta yeh musafir
Dillagi mein mazbur
Ishq ki fursat kanha?


...
Mayank Garg Jun 2020
GUM
-Hume gum iss baat ka nahi ki hum teri zindagi mein nahi hai

-Hume gum iss baat ka nahi ki hum teri zindagi mein nahi hai
-Hume toh gum iss baat ka hai ki jise tune chuna voh tere kaabil nahi hai
Nazar e ikraar
Tum taareef e kaabil
Aashiqui e parwanaah
Teri ada aur ishq ke khwaab
Liye mein phirta raha...
Jaise ki
Titli si hasi
Aankhon me liye
Neend me dobara zindagi ko dekhta
Phir ek nayi Disha!!
...
Veena Iyer Aug 2020
Jeene ke laayak bana mujhe ae khuda
Teri kayanaat ko mein dekh sakoon
Tere karishmon ko kar sakoon nihar
Mere haath hamesha tujhe kar sake salaam
Mere honth hamesh tujhse kar sake duwa
Iss Kaabil mein rahoo ae khudha

Jeene laayak bana mujhe ae khudha
Narm baton se apno ko mein sehlaa sakoon
Andhere mein shamaa banker raah dikha sakoon
Mere aanchal ko banaa iss laayak tu
Mere dilbar ko wo banjaye ibaadat ka makaam

Jeene ke laayak bana mujhe ae khudha
Ki le sakkon teri khush mausamon ka mazaa
Saawan ki ghataa se jab ubharne lage fizaa
Tho daudke usse lipat sakoon Zara
Mere dil ki galiyaan khuli rahe hamesha
Muhabbat ka raahi ban, rehjaau mein sada...

— The End —