Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
VENUS62 Jan 2015
Unke, nigahon, se nikali, jo teer
Dil se, ** gaye, bas hum, fakir

Aasman mein, saje, kahkashan
Nek, iradon se, hua, phir nikaah

Khwab aur haqueekat, ki hui, takkar
Bechara, dil ka mausam, hua patjhar

Unke, zubaan se, ab, nikalte, hai  teer
Aur, ab,  ** gaye hai, hum,  jeb se fakir
Joginder Singh Nov 2024
Aatanki ko,
Alagaavvadi ko
Koi
chetahavni dena
Bahut badi bhul he.


Mauka mile to Mita do uska mool,
Chata do Usko dhul ,
taki jhelna  na paden, aur adhik shul.

Aatanki ek
Gumrah shakhs hota hai , jab vah alag thalag pad jata hai ,
To samaj Ko khandit karna chahta hai.


Vah Apne bhitar ke
Tanashah ko Jinda rakhna chahta hai .
Satta pratishthanon ko
Jhukana chahta hai.
Desh samaj ki
Asmita ko
Dhul mein Milana chahta hai.


Aatanki
Kabhi deshbhakt nahin hota.
Beshak vah hardam ek nakab audhe rakhta hai.
Kabhi kabhi vah
Desh bhakti ka
Chadam aavaran audhe ,
Desh duniya Ko kamjor karna chahta hai.



Tum uske iradon ko samjho.
Apney ko halaton ke mutabik dhalo.
Khush fahmi mein rahakar
Khud Ko musibat mein na dalo.

— The End —