Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Daulat na adaa karna maula
soharat na adaa karna maula
bus itna adaa karna maulaaa.....

Shammay watan ki lauu par jab
kurbaan patanga  hoyeee
hotho par ganaga **
haatho me tiranga **

Bus ek sada hi sune sada
barfili mast hawao me
bus ek dua hi uthe sada
jalte tapte sehrao me

Jeete jee iska maan rakhe
markar maryada dhayan rahe
hum rahe kabhi naa rahe magar
iski saj-dhaj aabad rahe

Goodhara naa ** Gujrat na **
inshaan na nanga hoye....
hotho par ganga **..
haatho me tiranga **...


.....Dedicated to Indian Army.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Ek geet hotho par likhna
        Yani saare geet hreeday ki
        Meethi so choto par likhna...
        Ek geet palko par likhna
        Ek geet palko par likhna
        Yani saare geet hreeday ki
        Meethi si choto par likhna
      
      Jaise -
        Jaise chuv jata h koi
        Kanta nange paow me
        Jaise geet utar aate hai
        Mere mann me gaao me

        Jab v muuh dhak Leta hu
        Teri julpho ke chhaon me
        Kitne geet utar aate hai
        Mere Mann me gaao me

        Ki palke agar jhuki to jaise ×2
        Dharti ke unnmad soo gye
        Palke agar uthi to jaise
        Bin bole sanwaad ** gye ×2

      Jaise -
        Jaise dhoop chunaria odhe
        Aa  baithi ** chhaon me
        Jab bhi muh  dhak Leta hu
        Teri julpho ki chhaon me... ×2
        Kitne geet utar aate h
        Mere Mann me gao me... ×2
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Teri rooh ki saadhgi
Teray chehray ki raunak
Teray ishq ki ahaat
Teray hotho ki muskurahat
Teray zulfoon ka jadoo
Dil may ek ajeeb si shararat paida karti hai
Zehan ka darwaaza mano bandh sa ** jata hai
Aur sirf dil ki sunnay ko mann karta hai
(Urdu and Hindi)

English translation

The simplicity of your soul
The glow of your face
The sound of your love
The smile of your lips
The magic of your hair
Creates a strange sense of mischief in my heart
It's as if the doors of my mind get closed
And i only feel like listening to my heart
LLZ Mar 2021
Paakar tuhje na paya mene,
Tuhje na paakar bhi apna banaya mene.
Meri pyaar ki raah tujh tk banayi mene,
Afsos uss raah ki manzil ko tujhme na paya mene.
Ki Teri baato Mei khud ko na paya mene ,
Tere hone ke ehsaas ko hi baate banaya mene .
Mana Mei Teri zindagi Mei nahi ,
Par tuhjko hi apni Zindagi banaya mene.
Khokar bhi na khoya tujko,
Paakar khud Mei paya tujko,
Bharkar aankho Mei nami,
Aur leke hotho pei halki si muskaan ,
"TU MERA HASIL NAHI "
Yeh bhi khud ko samjhaya mene.
Na hokar bhi mere lagte ** tum.

— The End —