Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
MdAsadullah Dec 2014
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Bade pyar se wo humko apni mefil me Bulayein
Mehfil me bulakar mehfil ke kaide sikhayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Pad pad kar kaide hum zehan mein basayein
tabhi humare Mezban khud kaidon ko thakh per rakh ayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Jab Mezbaan ki is harkat per hum narazgi jatayein
Pyar se woh humein Naee kaide ki kitabe thamayein.
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Bade laad se wo Bheege joothon ke nakshe humare galon per banayein
Meethe khanjar si chubhti hain ye unki zalim adayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Zalil O ruswa hokar jab unki mehfil se jayein.
Dosti ki Bediyan wo humare paon mein pehnayein.
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Kiya hai humne bhi pukka irada chod kar na mehfil ko ab Jayein
Humare mezbaan chahe hume zalil ker kitni bhi khushiyaan manaayein
Ayea aap bhi dosti nibhayein hum bhi dosti Nibhayein
Hira malik Sep 2019
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!

Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!

Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!

Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
Mayank Garg Jul 2020
Agar zindagi mein kabhi koi musibat ya bura waqt aaye toh hume yaad kar lena ya humse baate share kar lena

Par kabhi aisi harkat mat karna jisse tumhare maa - baap ya parivaar ko suffer karna pade

— The End —