Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Zindagi ko jina sikh lo,
Zindagi se ladna sikh lo,
Hausla rakho sabse uper,
Zindagi me jitna sikh lo,

Bana do apni ek alag pahachan,
Naam wahi par kam alag **
Visva me tumhara ** ek alag kirtimaan,
Karke apne kul ko rausan,
hansna aur hansana sikh lo,
Zindagi ko jina sikh lo,

Dikha do duniya ko
Kanto jaisi raho par chalkar,
Pa lo apni manzil ko
Ek misaal bankar,
Etihas ke panno pe
apni pahchan likh do,
Safal hokar jeevan me tum
Zindagi ko jina sikh lo,
Zindagi ko jina sikh lo....
TRANSLATION FIRST PHRASE :-
Learn to live in life,
Learn to fight from life,
be courageous top,
Learn to win in life,

This poem dedicated to student like me.
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Shrivastva MK May 2015
Kahan kho gya hoon,
Main tera ** gya hoon,
Dekhlo sanam ekbar mujhe,
Main kya se kya ** gya hoon,
Main kya se kya ** gya hoon...


Kyon lut liye mere khawabo ko,
Kyon tor diye mere sare sapne bhi,
Tut gye sare rishte tujhse,
Kyon tor diya dil mera bhi....


Ab to tujhse juda hone ke
Dard me
Hansna bhi bhul gya hoon,
Dekh lo sanam mujhe,
Main kya se kya ** gya hoon,
Main kya se kya ** gya hoon.......


Tapak pari aansoo mere aankhon se,
Jab jab teri yaad aai....
Ruk jati kalam meri
Jab likhne ko tera nam aai....


Kahta hai Manish bhi
Apne DIL se,
Bhul jao use kyoki,
Main ab Patthar ka ** gya hoon,


Dekhlo sanam mujhe
tere pyar me
Main kya se kya ** gya hoon,
Main kya se kya ** gya hoon....

— The End —