Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Door kahin hokar khada jab dekhta huu mai duniya ko,
Kabhi khud ko dekhta hu kisi aur me,
To kabhi kisi aur me khud ko bhi dekh leta hu,
Kai rote hue chehre dikhte hai,
To kai tadapte hue dil bhi dekh leta hu,
Koi dikhta hai talabgaar khushiyon ka,
To kai baaar koi khushnuma manjar bhi dekh leta hu....
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Koi mehnat k baajar me pani pani hote dikhta hai,
To koi makhmali bistar pe aaram talab jindagi jeeta hai,
Koi chor hai makkar hai to koi in sabka gunah gaar hai,
To kai baar jindagi me imaandaar se bhi milta hu......
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Ghumte ghumte kai bar jab koi ghar dekh leta hu,
Chor bankar kabhi jab ghar k andar jhank leta hu,
Koi deewar tooti hui dikhti hai ,
To koi aalishan mahal bhi dekh leta hu,
Koi ghar hota hai jisme dikhte hai bhookhe nange,
To ghar kabhi har sukh suvidha ka praman bankar dekhta hu........
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko,
Kai baar koi maan bache ko pyar karte dikhti hai,
To kabhi pet bharne k liye khud ko bhookha rakhne vali bhi dekh leta hu,
Koi mahal mai dekhta hu sone se madha,
To kai baar kisi ghar k bachon ko bhookh se bilakhta hua bhi dekh leta hu,
Dekhkar ye bahurang duniya k mai khud ko aur majboot bana leta hu,
Na gareeb khud ko aur na kabhi ameer bata pata hu,
Door kahin hokar khada jab dekhta hu mai duniya ko..
Shabnam Jun 2019
Kisi ki wafa ko karobar na samjho..
Begarz ** kar kare jo yaad aisay yaar ko bekar na samjho..
Na kar sake jo inkaar use izhaar na samjho..
kisi ki khamoshi ko deewar na samjho..
Betakalluf hokar jo kare baat..
Aisay dost ko hoshiyar na samjho.
Don't take for granted!
Don't trade someone's faithfulness..
If someone remembers you selflessly,
Don't think them to be worthless;
If someone can't refuse, don't think it's a yes
Don't consider someone's silence to be a barrier;
Don't consider shrewd the friend who talks informally.
Makhfi Jun 2018
ANDEHRA BAHUT GEHRA THA...........
chandani bhi thi...kuch sitare bhi the..par na jane kyu  ...Andehra bahut gehra tha
Madhushala damak rahi thi andhe musafiron ki pukaar mein..par aawaz mein prem nahi tha bass thi do pal ke sukh ki duhai...
soot boot wale bhi aa rahe aur gir pad ke jaa rahe..
kuch motor pe aye the ussi par chale gaye....
andhe  thee sab shayad...ya roshini ne andere ko chupa diya tha....kyki meine dekha tha...andehra bahut gehra tha.                
madushala ke deewar ke par ek baachi roo rahi thi vo zindagi ki bhik mang rahi thi
na jane usne koon sa dukh dekha tha.....uski aanke laal aur maan bhari saa lag raha tha
Na vo matvale dekh paye na hum madhosh sunn paye uski pukar kyuki.... andehra bahut gehra tha
do matwalone uuse paise de chale..par kya vo uska guzara tha
kyuki sooch ke dekhiye andehri raat madhushala ke par vo baachi akeli thi
vo madhushala abhi bhi khadi hai..hamare dilo mein
shayad humne uska bachpan chiina
shayad vo andehra uske dukh ko chipa raha thi
vo raaat bahut kali thi..hawa matwali thi...uss raat aur anne wali raat andehra bahut gehra tha
Mein Teri khwaab vich
Soya ek kinaare bina deewar ke
Ek gehri neend

Bas neend me dobara...ek khyaal
Aur khyaalon me woh baatein...
Woh lamhe....
Jaam e Wafa
Aur Deewar e Fakira
Mein doobta
***** samundar me
..

— The End —