Oo panchhi le jaa meri chitti us jahan mein,
Jaha rakha hai meri maa ko us uparwale ne.
Pahuchana mera ye paigaam un dono khuda ko,
Ek meri maa jo jaan se pyaari hai mujhko.
Aur ek bhagwaan ko jinhone meri jaan apne pass bula li,
Meri maa unke pass hain wo bhi ** gye bhagyashaali.
Shukriya hai maa aapka jo aapne un ishwar se keh ke,
Aapke jaisi parwaah karne wala bhej diya zindagi mein.
Humari zindagi mein aake zindagi bn gye hain wo khuda ka farishta,
Dil se dil ka rooh se rooh ka hai unse ye khubsurat rishta.
Behad khushnaseeb hai aapki beti jo mila aisa jeevan saathi,
Wo mile tou in dadhkano ko jeene ki wajah mili.
Apni rehmat humesha banaye rehna,
Unhe har pal mehfooz rakhna.
Unki khushi se barkaraar hai humari khushi,
Unka mukhda tou hai misaal saadgi ki.
Dil hai unka pavan pavitra jaise ** sacche dil se bhakti,
Unke saamne sajda kar lu tou ** jayegi ibadat -e- bandagi.
Kayenaat bhi feeki lage unki rooh ki khubsurti ke saamne,
Badi hi fursat se tarasha hai unhe us khuda ne.
Wo mil gye sab kuch mil gayaab kuch nahi chahiye,
Oo panchhi udd ja lai jaa meri ye chitthiye.