Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
Tum bheegna chahti thi baarish me hanth me hanth pakadkar,
Tum aana chahti thi jindagi me meri khushi bankar,
Chahti thi tum kabhi k mai tumoo baahon me bhar loo,
Sona chahti thi tum mere seene pe sar rakh kar,
Kha tumne hi ek din tha k tham lo haanth tum mera jindagi bhar k liye,
Mujhe bas apna bana lo tum aane vaale har pal k liye,
Har baar dil ko mere sunahre sapnr dikhaye tumne,
Kabhi mere haanthon ko choomkar to kabhi hanthon me haanth pakadkar,
Inkar tumko bhi nahi tha k tumhe mujhse mohabbat hai,
Sirf mujhko hi nahi tumhe bhi mujhse utni hi mohabbat hai,
Tumhar bhi kabhi khwahish thi k baal sanwaroo mai tumhare,
Ungliyon se pajadkar kaan k paas le jaaun sare,
Saath bitayen jindagi baant le har muskurahat aur ansoo aapas me hi saare,
Magar tanha is dil ko ehsaas hua jab toota ye sapna,
Meri khatao se rooth kar rukh mod liya  tumne jab apna,
Ab na baaki rah gayi jafa koi,
Tumhe vaapas bulane ki,
Tum mujhse door ** gayi ** chahat todkar apni,
Tum mujhse rooth jati ** ku vaade bhoolkar sare,
Ijaajat tumne hi di thi tumko satane ki,
Satata aaj b nahu hu,
Khata fir bhi ** jaati hai,
Chalo ek baar aa jao,
Na mujhse door tum jao,
Gunah mere kiye saare ,
Bhulakar dil ki ranjish ko paas aa jao tum mere,
Samajh jao dil ki tadpan ko nigahen mujhse na fero,
Aaajao is baar pyaar me kar le milkar k vaade sare poore,
Jo meri nasamjhi se abhi tak rah gaye adhoore,
Paas tum aa jao mere paas tum aa jao mere,
Ek tum hi to ** meri koi aur nahi kareeb shiva ek pyaar k tere.
I love u
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Jo kal mere sath sahmati ke
Rangon ke kalaap sang hansi baant rahe the

Wo hi aaj hansi ka mohra
mujhe bana rahe the

Mujhe apni batane ki sudh kaha
Hansi mujhe aap mein aa rahi
Duniya ke iss
Jane anjane nasheeley baagaan ke beech
astitva jiska khud hi dhuaan hai

Kal gar jo mujhe rota hua tumne dekh liya
Toh mat puchhna matlab uss nazare ka
Wo nazara, jo meri ruh ko sula khud
Ek naatak dikha raha hoga
Iss badan ka.

— The End —