Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mayank Garg Jun 2020
TUM
-Tum toh hume ye keh kar chali gayi
-Ki hum tumse sachchi mohabbat nahi karte

-Tum toh hume ye keh kar chali gayi
-Ki *** tumse sachchi mohabbat nahi karte
-Par kya tumne kabhi socha hai
-Ki agar hume tumse sachchi mohabbat nahi hoti
-Toh hum tumhare liye itni kurbaaniyan kyun dete
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyon se koi fark nahi padhta
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai

-Dooriyon se koi fark nahi padhta hai
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai
-Dosti toh kuchh aap jaison se hai
-Varna mulakat toh jaane kitno se hoti hai
Mayank Garg Jun 2020
-Kuchh toh chahat rahi hogi
In baarish ki boondon ki bhi
-Varna kaun girta hai zameen par
Asmaa tak pahunchne ke baad
Mayank Garg Jun 2020
-Zindagi bhi kya cheez hai zalim
-Khushi ke palon ko yaad karen toh rula deti hai
-Aur dukh ke palon ko yaad karen toh hasa deti hai
Mayank Garg Jun 2020
-Kuchh log khone ko pyaar kahete hain
-Toh kuchh log paane ko pyaar kahete hain

-Kuchh log khone ko pyaar kahete hain
-Toh kuchh log paane ko pyaar kahete hain
-Shayad Ek hum hi the
-Jo nibhaane ko pyaar kahete hain
Mayank Garg Jun 2020
-Kisi ko unse mil ke ishq hua
-Toh kisi ko unhe dekh ke ishq hua

-Kisi ko unse mil ke ishq hua
-Toh kisi ko unhe dekh ke ishq hua
-Shayad Ek hum hi the
-Jinhe unki baato se ishq
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyan bahut hain magar itna samajh lo
-Ki pass rehkar hi koi nahi banta khaas

-Duriyan bahut hain magar itna samajh lo
-Ki paas rehkar hi koi nahi banta khaas
-Aur tum to iss kadar paas ** mere dil ke
-Ki mujhe nahi hota dooriyon ka ehsaas
Mayank Garg Jun 2020
-Jali ko aag kehte hain
-Bhuji ko raakh kehete

-Jali ko aag kahete hain
-Bhuji ko raakh kehete hain
-Aur jo dil se kabhi na nikle
-Use hi sachcha pyaar kahete hain
Mayank Garg Jun 2020
-Dil mein dard bahut hain
-Bayan nahi kar sakta

-Dil mein dard bahut hain
-Bayan nahi kar sakta
-Bas sabke saamne khush rehkar
-Akele mein hi ro sakta
Mayank Garg Jun 2020
-Jab se humne tumhe dekha hai
-Tab se hume kuchh aur na dikhta hai
-Na jaane kaisa jaadu kiya hau tumne humpe
-Ki koi aur chehra hume na bhata hai
Next page