Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Classics

William Wordsworth
Henry Wadsworth Longfellow
Mary Wollstonecraft Shelley

Members

wordvango
"The unexamined life is not worth living."
beth fwoah dream
England    i love writing. i try to let my subconscious write the poems. born may 1969.

Poems

Harshit Jain  Apr 2017
Meri Beti
Harshit Jain Apr 2017
Seetaro mai akela chaand si thi wo
Foolon ka mehekta guldan si thi wo
Thi nadi jaisi aviral,chanchal
mere dil ka haal si thi wo

Ghani dhoop mai chav si thi wo
Kisi geet ki addaon si thi wo
Thi hava si mehekti, komal
Mere dil ka bhav si thi wo

Beech majhdhaar mai nav si thi wo
Khusian ka pura gaon si thi wo
Thi koyal si meethi,nishchal
Mere man ka abhiman si thi wo

Paido par wo patto waali hari bhari koi daal si thi wo
Holi ke rango mai sabse saadi ek akeli gulaal si thi wo
Thi wadi kasmiri koi
Mere geeton ka sur aur taal si thi wo

Mandir mai wo shankhnaad si,pooja ka prasad si thi wo
Baarish mai mitti ki khushboo,badal ka dharti se sanvaad si thi wo
Thi meri wo beti pyari,usse hi ghar 'harshit' tha
Mere ghar mai sooraj si,Mere ghar ki shaan si thi wo

Thi ab wo jo nahi rahi,aakhir khata kya thi ki usne
mana hi to kia tha na beta shaadi se,
Par dosti ka haath bhi to badhaya tha
Teri Bezatti toh nahi thi ki usne
Fir kyun tune usko har ghar badnaam kia
Dushman na kare,dost hokar tune aisa kaam kia
Chali gayi ab chhod ke mujhko,wo akele jeevan ki saanjh mai
Meri khushiyan,meri duniya,meri pyari jaan si thi wo
Meri pyari jaan si thi wo
GHAR KI WO BAHADUR BETI

ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti.
darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti.

Ma ke anchal ko pakad ke chalti,
main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti,
khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti,
anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti.

Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani,
usko ek alag hi dunia hai banani.
sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti.
kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti.

Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi.
khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi.

Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me.
usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga.
age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya.

Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi.
arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti.

ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi,
diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi.
bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti
MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
Shrivastva MK Jul 2015
Mere sapne kyon tut gaye,
Wo humse kyon ruth gaye,
Dekar shila mohabbat ka mujhe,
Wo meri hasti kyon lut gaye,

Kyon aaye wo meri zindagi me
Jab mujhe chhod ke jana hi tha,
Karke waadein pyaar ke
Jab sath nibhana hi na tha,
Do pal ki khushi unke sath,
najane kahan chhut gaye,
Wo humse kyon ruth gaye,

Tor late tare bhi hum unke liye
us nile aasman se,
Mit jate hain nafrat bhi
es dhai akshar ke naam se,
Aashiyana hamare pyaar ka
najane kis samundar me dub gaye,
Wo humse kyon ruth gaye,

Ro diye hum bhi use yaad karke,
Kahan chale gaye wo mujhe barbaad karke,
Chale jayenge es suni duniya ko chhod
Rah jayenge tere liye hum bas ek khwab banke,
Pyaar ke kacche dhage aaj tut gaye,
Wo humse kyon ruth gaye,
wo humse kyon ruth gaye.......