Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Geetanjali dogra May 2020
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa
Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi,

Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa...
Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi,

Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa
Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi,

Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa...
Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi,
Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine
Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi,

Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse
Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi,

Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa
Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi,

Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi,

Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai
Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai,
Bachpana samjho ya nadaniya samjho
Par tere hi aggey hua karti thi,

Tu Maa thi ya meri dost thi
Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi,

Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai,
Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa,

Qki maa teri meri yadein bht achi thi
Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi.

Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa..
Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa,

Sach Drr lagta hai duniya se maa ab
Jee paungi ya tut jaungi mai ab,

Kitni bholi thi maa tu humesha se
Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi
Toh kick tu hi mara karti thi,

Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu
Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi,

Itni sachi aur achi maa thi tu
Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi,

Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se
Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse,

Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko
Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko,

Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye
Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye
Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere
Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye,

Maa bharosa kar mera
bharosa nahi todungi tera
Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
Sahil Sharma Aug 2018
Aaj achanak hi kyu azadi k din hume apne mulk ki itni yaad aayi
Jb kurbaan hue jawan sarhad pe,tb kyu nhi aankho me nami aayi

Zara dil se b izzat kr lo mere yaaro, kyuki ye zameen h hum sabki
Kuch nahi le jao ge sath apne, milni h ess me hi raakh hum sabki

Koi loot raha h gareeb ki jaeb, koi kr raha h bezuba awaam se faraeb
Umeed h kashmir me aman hoga,toh aur b meethe hoge waha k saeb

Jo saha h dard in kisaano ne, umeed h unka ye dard tumhe b mehsoos **
Daer raat in anderi galliyo se guzrti har beti har maa ki raah mehfooz **

Mazboot kr lo apne rishto ko,inpe h nigah kbhi mazhab ki kbhi siyasat ki
Na rang se pehchan ** na hi adoore ang se,ek si taraki ** har ek riyasat ki

Rishwat gareebi khudgarzi aur na jaane kitne h es mulk ko lge marz
Kbhi fursat hui toh janne ki koshish krna kitne h es maa k tumpe karz

Har bache ko ilm ** es janoon ka,taki ye kamyaabi k kadam ruk na paye
Bss ik ehsaan krna khud pe,ki teri kisi harqat se kehi iska ser juk na jaye

Dhua bss yehi h ki aane wali koi b nasal kabhi na ruksat ** es fitoor se
Chand taaro pe chle b gye agr phir b krte rehna sada salam waha door se
Kyu jaa raha hu dur itna
Socha na tha maine jitna
Waha jaake sab ** jayega thik?
Batau tujhe maine socha kitna
Sabse jada dukhi karega yaaron ka wo bichadna
Wo pyar, wo maje, wo khushiyan dard denge na jane kitna!
Apno se dur waha chain se reh paunga,
Kya mai yaha ki saari yaadein bhool paunga!
Kya mai yaha ki saari yaadein bhool paunga!.........

Zindagi me kabhi kabhi kuch cheezein bhoolne me hi bhalai hoti hai.......
Geno Cattouse Oct 2013
Spices/nices... sweets and creams. Smells like home
Bodega my senses. Herbs/Lotions. from across time and the ocean.
                                        Remedies for achy knees.
                                        Cough syrup/liniments.
Mangoes and tangerines.
Mamae/papaya.
Waha leaf.                       Tree bark/arrowroot.
                                        Nescafe/Milo.

Pastries.Puddings.
cakes and tamales.
Ginger beer/seaweed sweet drink

Love potions in the back room.
spells and fixes too.
Yeah the old is new.

The Bodega is a slice of home,
mysterious and familiar.
good for what  ails ya.

Placebo ? oh no
cho man.
Ain Sep 2020
Aaj pyari si ek pari
Mere ghar aayi ...?
Aaj nanni si ek kali
Mere ghar aayi...

Uski khushboo se mehka hai...
Yeh ghar humara?
Beshumaar khushiyan
Mere ghar aayi...

Uski ankhon se roshan
Hai har ek kona?
Lauhe mishkaat banke jo
Mere ghar aayi...

Humne jiske liye ki
Badi mannatein thi?
Woh ek dua e maghbool
Mere ghar aayi...

Uska chehra bhula de
Saare ghamon ko?
Yeh ek aisi basharat
Mere ghar aayi...

Uski pyari tabassum
Zakhmon ka malham

Ek nayi zindagi
Mere ghar aayi...

Usko dekhun to aankhon ko
Thandak aa jaye?
Hai jo Allah ki "Neama"…
Mere ghar aayi...

Jaise dasht o sehra mein
Rahat de waha?
Waisa taskeen e qalb woh
Mere ghar aayi....

Tere daaman mein aalam ki
Saari ** khushiyan?
Mere dil ki tammanna
Mere ghar aayi....?

** yeh tera muqaddar
Suraj sa roshan?
Banke chanda si murat tu
Mere ghar aayi...

Ae khuda tera sajda e
Shukr bajaon?
Teri rehmat se beti
Mere ghar aayi...

Jaise Allah ne jholi "Ain"
Teri hai bhar di?
Sab ko hasil ** daulat jo
Mere ghar aayi....
Written on 11 Aug 2012………my daughter’s first birthday. ..
Hozefa Apr 2019
Meri paidaish k waqt woh khushi aur fikr ke mix emotions mein kho raha tha....
Mujhe janam to meri maa de rahi thi, par usse dekh inhe bhi dard ** raha tha.

Jab main bol nahi pata,tabse meri khawahisho ko pura karne ka zimma uthaya tha...
Kandhe pe bitha kar duniya dikhayi aur ungli pakad ke papa ne chalna sikhaya tha.

Bhale khud,hindi medium mein aathwi kaksha tak ki thi padhai....
Par paise jama kar kar, seher ki best English school mein meri admission thi karwayi.

Office mein over time kar ke, mere future ki planning mein paise bachate the.....
Khud eid pe purane kapde pehente, par humare liye naye kapde silwate the.

Par tab zindagi mein, papa ka balidan aur pyaar kaha samjh mein aana tha.....
Papa ko thank u, i love u baad mein keh denge abhi to sirf paisa kamana tha.

Phir ek raat dosto k sang, madhoshi humpe chahi thi.....
Par waha fikr k maare papa ko neend kaha aayi thi.

Papa ka phone aaya to number dekh pehle phone kaat diya.....
Jab wapas call aaya to   "kyun pareshan kar rahe **" keh kar papa ko daat diya.

Phir agli subah phone aaya to socha, papa ko baar baar phone karne k liye naa kahe....
Par samne se awaz aayi "yeh jiska phn hai, unhe raste pe dil ka dora aaya, aur woh abb nahi rahe"

Aaj raat hai par sulane wala nahi....
Dost aur party hai par phn kar haal puchne wala nahi.

Aaj kehne to bahut kuch hai, par koi sunne wala nahi...
Abb bol sakta hoon, phir bhi khawahisho ko pura karne wala nahi.

Jab keh sakta tha tab maine kaha nahi....
Aaj paisa to bohot hai, par thank u, i love u kehne ko papa nahi.
Himanshu rajput Mar 2018
Tanha nahi hu...

Bas kuch logo ka sath chhoda hai...
Baate bahut hai karne ko...
Bas hothon ne alfaaz chhoda hai...
Or kahu bhi kya un logo se,
jinhe mujh se jyada kisi or par yakeen  hai
Iljaam chota sa sahi...
Magar bahut sangeen hai...

Raato me jab bas chaand hota hai...
Kuch taare hote hai...
Mujhe dekh Kar jaane kyu rote hai...
Roya mai bhi tha us kamre me,
Jaha ek khidki bhi nahi thi...
Maano ek pal k liye duniya khatam ** gayi thi...

Ab to jee rahe hai bas...
Kuch khaas wajha nahi hai...
Jinhe dekhna chahte hai...
Un me se koi dikha nahi hai...
Wo sochte honge k wo bhot khush hai waha...
Koi hum se puche...
Saanse to chal rahi hai...
Magar kuch bacha nahi hai...

HR Collection
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
Riya jain Sep 2018
baat wo jaani pehchaani thi,
school ki wo kahani thi.
subah uthke wo school ko jaana,
waha jate hi teacher ki daant khaana.
class mein chhup ke tiffin khaana,
or har galti par naya bahana.
class mein roz halla karana,
or galti khud ki pe dost ko fasana.
fir chup2 ke dost ko hasana,
usse kehna zara chehra toh dikhana.
pal haseen ye kahin gum se gaye,
ab hum sab alag hogye.
class wo humari ek kamra ban gyi,
or baatein humari yaadein ban gyi.
firse doston ka mela hum lagaynge,
par wo school ke din waaps na aynge.

Riya
Diya soni Jun 2023
Koi mujhe hi aake bata de kya h mere man ka hal? Kyuki me bezuban hu.

Koi mujhe hi aake bata de ki me kya chahti hu, kyuki me kayar hu

. Koi mujhe hi aake sikha de apne liye ladna  kyuki me mashroof hu apne khilaf gawahi dene me.

Koi mujhe hi aake dhund de mujhe,
Rasta jo bhatak chuki hu
Aur rah milne wale log bhi jaha pohchna na h waha ka pata sahi nai bata rhe

Pata nai roshni aur kitni door h, shayad koi dur se batti dikha de ki manzil waha h

Koi mujhe bata de ki hadson ki wajah se
Andr sab kuch bikhar chuka h ya abhi kuch baki h

Koi to ** jo mujhe bata de ki jo me hu aur jo me hona chahti thi, in dono ko kese ek karu

H koi esa raahi? Jo mujhe hi dekh kr bataye me kitna dur aa chuki hu, kyuki meri raahein to dhundli dikhti h mujhe

Aao aur mujhe batao meri kimat kitni h iss safar me.. kyuki mera hisab bigad diya h duniya ne
Anshika Oct 2020
Sunn jara apne aap ki..
Kya kehta hai mann tujhe uss baat kii..
Suun jara apne aap ki..
Duniyaan toh sunati hee hai aur sunati hee rahegi.. Tu sabki sunn pr pehle sunn apne aap ki..
Jo tera mann hai wo tujhe bahut jagah le jayega kabhi yha toh kabhi waha na jane kaha -kaha bhatkayega....
Aur tu bhatak bhi jayegaa.. Par jo tu raaste par bhatak ke wapes apne manzil tak naa aaya toh tu hara hua kehlayega...
Aur chote -chote kadam aur baaton se tu isse tarah larkharayega par aakhir me chalna tujhe khud hee aajayega...

Issliye sunn mat kise kee baat kii.. Pehle sunn jara apne aap ki.

— The End —