Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hozefa Apr 2019
Meri paidaish k waqt woh khushi aur fikr ke mix emotions mein kho raha tha....
Mujhe janam to meri maa de rahi thi, par usse dekh inhe bhi dard ** raha tha.

Jab main bol nahi pata,tabse meri khawahisho ko pura karne ka zimma uthaya tha...
Kandhe pe bitha kar duniya dikhayi aur ungli pakad ke papa ne chalna sikhaya tha.

Bhale khud,hindi medium mein aathwi kaksha tak ki thi padhai....
Par paise jama kar kar, seher ki best English school mein meri admission thi karwayi.

Office mein over time kar ke, mere future ki planning mein paise bachate the.....
Khud eid pe purane kapde pehente, par humare liye naye kapde silwate the.

Par tab zindagi mein, papa ka balidan aur pyaar kaha samjh mein aana tha.....
Papa ko thank u, i love u baad mein keh denge abhi to sirf paisa kamana tha.

Phir ek raat dosto k sang, madhoshi humpe chahi thi.....
Par waha fikr k maare papa ko neend kaha aayi thi.

Papa ka phone aaya to number dekh pehle phone kaat diya.....
Jab wapas call aaya to   "kyun pareshan kar rahe **" keh kar papa ko daat diya.

Phir agli subah phone aaya to socha, papa ko baar baar phone karne k liye naa kahe....
Par samne se awaz aayi "yeh jiska phn hai, unhe raste pe dil ka dora aaya, aur woh abb nahi rahe"

Aaj raat hai par sulane wala nahi....
Dost aur party hai par phn kar haal puchne wala nahi.

Aaj kehne to bahut kuch hai, par koi sunne wala nahi...
Abb bol sakta hoon, phir bhi khawahisho ko pura karne wala nahi.

Jab keh sakta tha tab maine kaha nahi....
Aaj paisa to bohot hai, par thank u, i love u kehne ko papa nahi.

— The End —