Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother
Ankit Dubey May 2019
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne tere hone ka ehsaas laya,
chookar mujhe vo kuj is tarah,
laut gaya jaise k aakar tum chale jate **,
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne teri khushboo laya,
mahkaya har taraf kuj is tarah,
k jaise tum pal bhar me mujhme sama jate **,
aur fir se mujhse door chale jate **,
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne kuj khatti mithi yaden laya,
thoda sa hansaya thoda sa rulaya,
kuj is tarh tumko mere paas bulaya,
jaise k pal bhar me tum mujhe apna bana k agle pal rooth jate **,
aur thodi c khushi k baad gam mujhe de jate **,
ek hawa ka jhinka aaya,
mujhe chookar vapas chala gaya,
kuj is tarah k jaise tum mujhse lipat jate **,
sab kuj bhool jate **,
mujhe pyar karte **,
har khushi apni mujhme hi tarash lete **,
aur fir vo waqt aata hai k door chale jate **,
i love u

— The End —