Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Eshan Mar 2011
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.

Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.

Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.

Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.

Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.

Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.

Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Nidhi Jaiswal Feb 2021
Samaj ke bandisho se azad
Bin pankho se urna chahti hu
Pankh tute hai to kya
Khawo se aashaman sajana chahti hu

Hoshlo ki urran hu main
kisi ki muskan hu main
bharat ki anokhi shan hu main
band pare khawbo ki arman hu main

manti hu zindgi ke safar me
Me mil jate hai kuch humsafar
naa hote hue apne
Phir ban jate band aankho ke sapne

Haa main uarna chahti hu
Oos ke bund ki tarah dhara ko susobhit karna chahti hu
khilkhilana chahti hu
Hasna chahti hu
Apne pankho ko failye dhara ko napna chahti hu
apni khusboo se sbko mekhkana chahti hu
apne gunjan se nabh ko gunjit karna chahti hu
kali se ful ki tarah khilna chahti hu

kya thi galti meri
kis bat ki milli mujhe  ye saja
ye Samaj ki bandishe
Pairo m jakri ye janjiro se niklna hahti hu
kuch kehna chahti hai
Khud ko khud se milana chahti hu
kyuki jaise main dikhti hu waise hu nai
Mere hai kuch azad sapne
Pinjre m band panchi nahi hu
aazad bharat ki ek shakti ka rup hu
Ek larki hu mai
Haan ek larki
jo khud apna itishah bnana chati hai
Auro se alag khud ki duniya basana chahti hai
kUch karna chati hai
Apne liye
apno ke liye
Iss jahan ke liye.
Myself...😇

— The End —