Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
LLZ Apr 2020
Bekarar rehte the tum,
Meri khabar sun ne ko,
Ab,
Na Jane Kyu bekhabar se ** gaye ** tum.

Pyaar bhari najro se,
Palak sajaye ji bhar ke dekha karte the mujhe,
Ab,
Na Jane Kyu undehka se karne lage ** tum?

Narajgi ** ya shikayate ,
Bade dhyan se suna karte the tum,
Sun Meri aawaj ko muskura Diya karte the tum.
Ab ,
Na Jane Kyu unsune se ** gaye ** tum?

Bin kuch kahe ,
Chehra pad ,Dil ki baat samjh jate the tum,
Ab ,
Na Jane Kyu nasamjh se lagte ** tum?

Jaan,jaan khete lubs mere ,
Thakte nahi the ,
Ab,
Na Jane Kyu unjaan se how gaye ** tum?
Miss you a lot.
LLZ Apr 2020
Toh Kya hua,
Ab hum saath nahi ,
Ek dusare ke paas nahi,
Duriyaa hai darmiya ,
Par ,pyaar ab bhi hai beimteha.
Tumne kaha tha ,
Hum dur ** rahe hai ,alag nahi.
Ha pata hai mujhe ,ki ab phele jaise
Na baat hoti hai
Na mulakat .
Na Teri kadamo ki ahat sunai padti hai,
Na Teri jalak dikhayi deti hai
Ha duriyaa hai darmiya
Par , pyaar bhi hai beimteha.
Suno,
Narajgi bhi tumhi se
Shikayat bhi tumhi se ,
Aur beshumaar pyaar bhi tum se hi hai.
Pyaar tumse tha, hai aur hemesha rahega.
Duriyaa hai darmiya
Par pyaar bhi hai beimteha.

— The End —