Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
MdAsadullah Mar 2018
Atid ke khate bhare pare hai mere goonaho'n se
Kuch bhi to nahi dekhane ko din qayamat ke
Per haqeer na dekho aye logo'n mujko
Chand keemti cheez hai mere zamanat ke
Uski rahmat se hargis mayoos nahi'n
Kuch aa'nsoo hai mere Allah ke pass nadamat ke
Raatein katt gyi intezaar me tere
Han manta hu hum hai gunegaar tere

Tu he thi jisne mohabbat kri humse
Umar bezar jaegi intezaar me tere

Tere hoth kissi ko chu le aur mai zinda bhi rhu
Galat femi hai abhi dimaag me tere

intiha-e- ishq mujhko nadamat me mila
Raegaan he jaegi zindagi intezaar me tere

— The End —