Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2017
Aaj murjhaye phul phir se khil gye,
U ghane badalon me bhi do dil mil gye,
Jiski tammna thi varso se hume,
Aaj Wo khushi ke pal bhi mujhe mil gye,

Kya gajab si khubsurati thi unke dil me,
Kya gajab Ki sararati aankhen,
Ye katilana andaaj me unka muskurana,
Bin bole kah gyi wo sari batein,

Bechain se dil ko aaj Wo sukun mil gye,
Sare sikwe,dard hum aaj bhul gye,
Jiske liye tarasati thi ye suni aankhen,
Aaj unhe dekh ye bhi bhar gye,
Real feelings of heart
Abhishek Ashish Mar 2018
Kuch baatein yuhi kahi to nahi jaati,

kai baatein aankhe bhi bayaa nahi kar paati

Kisi rail ki thar-tharahat mein shayad hai woh baat

Ya hai kisi pool ke sannatein mein...

Yeh jo kaath le taalein hain, apne lafzon par kyun daale hain

Ek ajeeb si narazgi sabhi ne paale hain!

Kabhi khil-khilati thi mere honthon ki hasi,

Aaj aalam hai ki murjhaye phool bhi humse sayaane hain...

Dil ki baatein dil ko hi satati hai,

Aa jayen agar lafzon tak toh apno ko rulati hain...

Zindagi badi ruhaani hai, harr mod ek nayi kahani hai,

Kuch baatein yunhi sunani hain

Kai baatein aankhon se samjhani hai...
Akta Agarwal Apr 2021
Mohobbat to ek masum sa ahesas h
Jo dil ko kb chu jaye pta hi nhi chalta
Mujhe to un bchcho ki nadaniyon S pehle hi nazar m mohobbat ** chali thi
Unke wo masum S nanhe nanhe S khwab
Unki masum baatein
Murjhaye chere ko khila deti hai
Unki ek pyaari si muskhurahat
Anshu bhare chere pe hasi laane ko khafi h
Kese bhala unki masumiyat dil ko na chuwe
Kese bhla pehle hi nazar m koe unke pyaar m na khoye
Unki masumiyat dil ko yu hi pigla deti h
Unki narazgi v hoton pe muskhurahat la deti h
Mohobbat to hoti hi massi si h

— The End —