Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ki badlne  ko in ankho ke manjar kam nahi badle
Tumhari yaad ke mausham humare gum nahi badle,
Tum agle janm me humse milogi tab to maanogi,
Jamane aur sadi ki is badal me hum nahi badle...

Ki koi kab tak faqat soche ,koi kab tak faqat gaye
Illahi kya ye mumkin hai ki kuch aisa v ** jaye ,
Mera ahtaab uski raat ke aagosh me pighle
mai uski neend me jaagu wo mujhme ghul ke soo jaye..
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
Ankit Dubey May 2019
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ** hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay, Khata hona bhi mumkin hay,
Hamesha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say, Kabhi toota nahin kertay…!
Tu ab mat kar intezaar mila
Mein khud se dur chala gaya hu
Mumkin namumkin
Pankh mein khoya khoya chand
Bhul ja
Bhul ja
..
.

Dooriyaan ye
Manzil e khamoshiyan
Luka chhupi
Tham si gayi..
..


..

...
Phir ek awaaz aayi...
Mein khud ko rok na paya
...
Hasti ek takleefein..
Awaargi...

— The End —