Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
LLZ Apr 2020
Tumhari tarah sabdo ,
Ko kagaj par utarna nahi aata mujhe,
Par fir bhi koshish karti hu likhne ki.

Likhna aata nahi fir bhi likhti hu,
Tum Tak apni baat pahuchane ko.
Aisa nahi hai ki mujhe pyaar aata nahi jatana,
Bas Teri majbooriyo ke aage kamjor pad jati hu,
Likhti hu tujhe ye Dil ka haal sunano ko,
Bas likhti hu tuhj Tak ye sandesh pahuchane ko.
Teri Kalam se meine apni Kalam Ko dekha
Phir tum likhti Rahi jaise ki Mann me khuch **
Jo lagatar dilo dimaag me guldasta bana Raha **
Aur likhte likhte mein tumhe dekhta raha..
Raah e dhoondta tumhare madhur geet aur yeh mazbur Dil
Dooriyaan aur peepal ki patti ki tarah Pavitra tum
Yeh mera mann Nashe me ghumta bas pyaar hi pyaar me

Sitaro ka jhilmilana
O Dil e nadaan
aakash ko Nadi me dekhta Chand e Tamannah
Akhiyon  me doobta hazaron sapne liye
Dhoondta Dil e Raaz ...
...

— The End —